Zikr e Abbas Karon Kyun Na Azadaron Mein 2015
Zikr-e-Abbas Karon Kyun Na Azadaron Mein.
Baat Hoti Hai Wafaon Ki Wafadaron Mein.
Ho Na Ho Yeh Mah-e-Shaban Ki Chothi Shab Hai.
Aaj Soraj Ki Zia Dekhi Gayi Taron Mein.
Aaj Bhi Jaise Hain Ghazi Ki Hifazat Mein Hussain.
Taziye Le Ke Alam Chalte Hain Bazaron Mein.
Mustaqil Kehti Chali Aati Hai Tareekh-e-Jehad.
Koi Abbas Na Ab Ho Ga Alamdaron Mein.
Aks Mah-e-Bani Hashim Ka Baha Kar Le Jaein.
Itna Pani Hi Nahi Sham Ki Talwaron Mein.
Maut Bhi Aa Ke Palat Jaye Yeh Dawa Hai Mera.
Hazari Bant Ke Dekho Kabhi Bemaron Mein.
Jis Tarha Khailte Hain Seene Pe Matam Ke Nishaan.
Iss Tarha Phool Bhi Khilte Nahi Gulzaron Mein.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2015-16:
#ZikreAbbasKaron
#ManqabatLyrics
#tajpoint