Rajaz Ya Aoun-o-Muhammad 7-11 Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Rajaz Ya Aoun-o-Muhammad 7-11 Lyrics In Urdu and Roman Urdu

رَجز یا عونؑ و محمدؑ 7تا11

Talwar Youn Chalao Ke Lashkar Dohai De.
Dad-e-Wiga Najaf Se Ali Ki Kalai De.
Jhankar Taig-e-Haq Ki Flak Tak Sunai De.
Bhagein Jidhar Yeh Maut Ka Pehra Dikhai De.
Buzdil Kahin Ke Ghazi-o-Jarrar Aa Gaye.
Kya Har Taraf Se Haidr-e-Karrar Aa Gaye.
Nikle Jo Khaima Gah Se Zainab Ke Meh Laka.
Aaye Qadam Barhaye Ba Andaz-e-Lafata.
Dekha Jo Bhanjo Mein Qayamat Ka Walwala.
Maidaan Ki Samt Dekh Ke Abbas Ne Kaha.
Ab Dair Mat Karo Ke Charhai Ki Diar Hai.
Faslein Khari Hoi Hain Katai Ki Diar Hai.
Qehar-e-Illah Ban Ke Karo Dushmao Pe War.
Woh War Jis Se Aik Hoon Do Our Do Se Chaar.
Sar In Ke Youn Urao Ke Jaise Urey Ghabar.
Larne Pe Aaein Shair Tu Kya Aik Kya Hazar.
Meri Tarha Charha Ke Zara Aasteen Ko.
Lashkar Samait Aaj Ulat Do Zameen Ko.
Maidaan Udhar Ho Saaf Jidhar Lar Rahe Ho Tum.
Ho Jaye Dushmano Ko Khabar Lar Rahe Ho Tum.
Iss Bheer Mein Idhar Ke Udhar Lar Rahe HO Tum.
Yeh Tay Na Ho Sake Ke Kidhar Lar Rahe Ho Tum.
Woh Zarbaton Mein Zoor Ho Jibreel Kanp Jaye.
Raftar Dekh Kar Makal-Al-Maut Hanp Jaye.
Shami Mehfil Mein Aane Ke Bethe Jo Be-Mehal.
Danay Samajh Ke Chugne Laga Tair-e-Ajal.
Kaise Likhe :BILAL:-o-:WAJHI: Sheh-e-Azal.
Kursi Nasheen Khak Pe Girte They Munh Ke Bal.
Lafzoon Ke Kurz Zulm Ke Sar Phoorne Lagay.
Lagta Hai Phir Butoon Ko Ali Toorne Lagay.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2015-16:
#RajazYaAounoMuhammad
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!