Charcha Hai Yeh Ghali Ghali Shabir Ke Matamdaron Mein 2017-18 Lyrics In Urdu and Roman Urdu
چرچا ہے یہ گلی گلی شبیرؑ کے ماتمداروں مِیں
Le Ke Chalo Abbas Ka Parcham Phool Khilein Angaron Mein.
Rota Hai Do Lakh Ka Lashkar Sari Kamanein Toot Gayin.
Aik Tabasum Khail Raha Hai Teeron Ki Bocharon Mein.
Momin Ki Pehchan Hai Yeh Eman-e-Abu-Talib Ki Qasam.
Farsh-e-Azza Par Rone Wala Ro Nahi Sakta Garoon Mein.
Maut Ka Sannata Chaya Hai Aik Qayamat Barpa Hai.
Lehja-e-Haider Goonj Raha Hai Kofe Ke Bazaron Mein.
Sar Par Paon Rakhe Hai Koi,Koi Rakhe Hai Paon Pa Sar.
Aisi Bhagdar Machi Hoi Hai Ghaat Ke Pehraydaron Mein.
Midhat-e-Emaan Ki Lazzat Ko Kufar Ke Palay Kya Janein.
Zikar-e-Ali Hota Hai Hameesha Nasli Ghairat Daron Mein.
Neend Bhi Hai :NAYAB: Ali Ki Bedari Bhi Hai :NAYAB:.
Jagte Hain Takbeeron Mein Our Sote Hain Talwaron Mein.
Poet: :Nayab Hallauri:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2017-18:
#CharchaHaiYehGhaliGhali
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com