Gulshan e Aal e Payamber Mein Khizaan Aane Ko Hai Lyrics In Urdu 2014
Haidar-o-Safdar Ja Saya Sar Se Uth Jane Ko Hai.
Aaj Zainab(SA) Ko Nazar Aane Laga Bazar-e-Sham.
Fatima(SA) Kya Phir Kissi Darbar Mein Jane Ko Hai.
Zainab-o-Kulsoom(SA) Rakhna Hosle Apne Buland.
Aaj Phir Koi Qayamat Ki Khabar Aane Ko Hai.
Jab Giray Ghore Se Ghazi(AS) Tu Sakin(SA) Ne Kaha.
Dur Mere Our Chadar-e-Tatheer Chin Jane Ko Hai.
Nanay Nanay Bazuon Mein Daal Kar Choti Si Mashk.
Shair-e-Haq Abbas(AS) Ki Kuch Shan Dikhane Ko Hai.
Aaj Ki Shab Roza-e-Khatam-e-Rasul(SAWW) Hil Jaye Ga.
Ibn-e-Muljim Aaj Kuch Aisa Ghazab Dhane Ko Hai.
Zainab-o-Kulsom(SA) Ko Seene Se Kar Lo Ab Juda.
Baap Ke Chehre Ki Rangat Ab Badal Jane Ko Hai.
Chah Gayi Hai Kyun Udasi Shabar-o-Shabir(AS) Par.
Saaf Zahir Hai Yateemi Sar Pe Chah Jane Ko Hai.
Karbala Walon Ki Shayad Tashnagi Ka Hai Khiyal.
Saqi-e-Kausar Zara Pehle Chale Jane Ko Hai.
Ta Qayamat Khoon Roye Gi Zameen-e-Karbala.
Zulm Ki Kali Ghata Woh Sar Pe Chah Jane Ko Hai.
Poet: ::
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2014-15:
Gulshan e Aal e Payamber Mein Khizaan Aane Ko Hai Lyrics In Urdu
Gulshan e Aal e Payamber Mein Khizaan Aane Ko Hai Lyrics In Urdu 2014 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
