Hasan Hussain Se Pehle Shaheed-e-Kamsin Hai Lyrics Urdu 2018
Hasan Hussain Se Pehle Shaheed-e-Kamsin Hai.
Woh Koi Our Nahi Syeda Ka Mohsin(AS) Hai.
Howa Shaheed Jo Dewar-o-Dar Ke Beech Aa Kar.
Jise Bachane Se Zakhmi Hai Pehlu-e-Madar.
Udas Iss Ke Liye Raat Ghamzada Din Hai.
Woh Jis Ne Karb-o-Bala Ka Safar Kiya Hi Nahi.
Zabaan Se Jis Ne Abhi Maa Ko Maa Kaha Hi Nahi.
Woh Jholta Kissi Jhole Mein Kya Ye Mumkin Hai.
Ali(AS) Ne Aisa Janaza Kahan Uthaya Hai
Shaheed Ho Ke Jo Maidan-e-Gham Mein Aaya Hai.
Woh Sheer Khuwar Jo Na-Waqif-e-Qad-o-Sin Hai.
Woh Jis Ko Ghusal-o-Kafan Ki Kahan Zarorat Thi.
Woh Jis Ke Tan Pe Ba-Misal-e-Khuda Taharat Thi.
Jo Karbala Ki Zameen Ka Imam-e-Zamin Hai.
Chupa Rahe Hain Musalmaan Ossi Shaheed Ki Baat.
Gawah Jis Ki Shahadat Ki Hai Khuda Ki Zaat.
Yeh Qatal Sab Pe Ayyan Hai Kahan Yeh Batin Hai.
Qasam Khuda Ki Ba-Misal-e-Hussain Ibn-e-Ali(AS).
Shaheed Ho Gaya Lekin Madad Kissi Ki Na Li.
Malool Iss Ke Liye Qaum-e-Zafar-e-Jin Hai.
Iss Ke Azam Ki Taqleed Ki Hai Asghar(AS) Ne.
Isse Shaheed Kiya Hai Sitam Ke Lashkar Ne.
Malool Taig-e-Ali(AS) Iss Shaheed Ke Bin Hai.
Firaq-e-Hazrat-e-Mohsin(AS) Mein Mar Gayin Zahra(SA).
Kisi Bhi Maa Pe Na Utray Yeh Be-Amma Sadma.
Yeh Dard Samjhe Ga :REHAN: Jo Bhi Momin Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Ayyam-e-Fatima New Noha 1439 Hijri 2018