Sab Mil Ke Kaho Syed-o-Sardar Qalandar Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سب مِل کے کہو سیّد و سردار قلندر
Janat Hai Yaqeenan Tera Darbar Qalandar.
Chishti Hoon Bhitai Hoon Ke Shamsi Ya Nizami.
Deta Hai Zamana Teri Chokhat Pe Salami.
Roza Hai Tera Markaz-e-Anwaar Qalandar.
Hain Jin Ke Chacha Hamza-o-Jafar Se Jigardar.
Kehta Hai Zamana Jinhein Abbas-e-Alamdar.
Oss Bab-e-Hawaij Ka Wafadar Qalandar.
Yeh Musi-e-Kazim Ke Pisar Hain Yeh Nasab Hai.
Rooz Milte Hain Shabir Ko Shahbaz Laqab Hai.
Sadaat Ke Lashkar Ke Hain Salar Qalandar.
Har Aik Sawali Pe Tera Faiz Hai Jari.
Kehti Hai Teri Shan Mein Yeh Roop Kumari.
Dunya Mein Hai Bhagwan Ka Otar Qalandar.
Eman Tasawuf Ki Kitabon Mein Likha Hai.
Jo Barwaan Waris Jo Hijabon Mein Chupa Hai.
Oss Ghaibat-e-Kubra Ka Hai Izhar Qalandar.
Hai Oss Ke Tasaraf Mein Shifat Ka Khizana.
Aata Hai Ziyarat Ko Yahan Sara Zamana.
Konain Ki Har Shay Ka Hai Mukhtar Qalandar.
Shahbaz Hain Woh Farsh-e-Azza Jis Ne Bichaya.
Matam Ki Sadaon Se Zamane Ko Jagaya.
Hai Aisa Sakhi Aisa Azadar Qalandar.
Paigham Qalandar Ka Zamane Ko Suna Do.
Yeh Mazhab-o-Milat Ke Khateebo Ko Bata Do.
Hai Dushman-e-Shabir Se Bezaar Qalandar.
Hain Tere Gada :MIR:-o-:MUHIB: Arz-o-Samawaat.
Dunya Mein Faqat Aik Qalandar Hai Teri Zaat.
Yeh Kis Ne Kaha Our Hain Do Chaar Qalandar.
Poet: :Muhib Fazli:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2004-05:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
Visit TAJPOINT :: Official Website :