Tu Hai Bara Rehman Mula Tu Bara Rehman Lyrics Urdu 2009
Tu Hai Bara Rehman Mula Tu Bara Rehman.
Ahsan Hum Pe Hai Tera Aye Rab-e-Zuljalal.
UmmatMein Osski Paida Kiya Jo Hai Be-Misal.
Dukhtar Batool Jis Ki Hasn Our Hussain Lal.
Lahmo Ka Lahmi Jiska Ali Jaisa Ba-Kamal.
Quran-o-Ahl-e-Bait Ko Tu Ne Kiya Yakjaan.
Adam Se Taba Mehdi-e-Aakhir Teri Atta.
Tere Karam Ke Baar Talay Sare Anbiya.
Musa Ke Haq Mein Neel Mein Rasta Bana Diya.
Masloob Ho Ke Esa Ke Lab Par Thi Yeh Sada.
Har Dil Mein Tu Makeen Hai Kehne Ko La-Makaan.
Naat-e-Nabi Hai Zikar-e-Khuda Zikar-e-Panjtan.
Soraj Khuda Ki Zaat Hai Mera Nabi Kiran.
Jis Ke Liye Falak Ko Banaya Gaya Dulhan.
Mairaj Ki Woh Raat Muhammad Ka Woh Sukhan.
Quran Mein Likha Hai Khuda Ne Woh Hi Biyaan.
Hathoon Pe Jiske Sang Bhi Karne Lagay Kalam.
Bheja Darood Chand Ne Soraj Kare Salam.
Wal-Najam Jis Ki Subha Hai Wal-Lail Jis Ki Sham.
Mere Nabi Ke Dar Ke Farishte Bhi Hain Ghulam.
Quran Ke Liye Hain Yeh In Ke Liye Quraan.
Zahra Ke Ghar Sitarah Jo Utra Ut Yeh Khula.
Mehboob Panjtan Ko Bohat Rakhta Hai Khuda.
Maktab Hasan Hussain Ka Yeh Ghar Bana Raha.
Masnad Nabi Ki Is Mein Musalla Ali Ka Tha.
Chokhat Pe Jis Ki Rehta Hai Jibreel Sa Darbaan.
Hamd-e-Khuda Hai Nat-e-Nabi Zikar-e-Panjtan.
Iss Ke Siwa Tu Kuch Bhi Nahi Hai Mera Sukhan.
Yaad-e-Hussain Hai Mera Sarmaya-e-Nehan.
Hai Karbala Ki Khak Se Aasodah Jo Badan.
Kaise Fishar-e-Qabar Ho Phir :SARWAR:-O-:REHAAN:.
Poet: :Rehan Azmi:
Manqabat Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Manqabat Volume: :Nadeem Sarwar 2009: