Bhaiya Ghareeb Zainab Tera Kafan Na Layi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Bhaiya Ghareeb Zainab Tera Kafan Na Layi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

بھیّا غریب زینبؑ تیرا کفن نہ لائی

Lash-e-Hussain Par Hai Zainab Ki Yeh Dohayi.

Misal-e-Batool Haq Se Mehroom Hoon Main Ab Tak.
Shabir Tere Gham Mein Magmoom Hoon Main Ab Tak.
Tarpa Rahi Hai Mujh Ko Abbas Ki Judai.
Afsos Keh Sakina Nazoon Se Jo Pali Hai.
Jo Tum Ko Yad Kar Ke Zindaan Mein Chal Basi Hai.
Oss Ko Mili Na Bhaiyya Zindan Se Rehayi.
Hum Par Sitam Aye Bhaiyya Dhate Rahe Sitamgar.
Syedaniyo Ke Sar Mein Aati Thi Khak Ur Kar.
Bazar Ka Woh Manzar Zainab Na Bhol Payi.
Balon Se Munh Chupa Kar Bazar Mein Gayi Thi.
Nargay Mein Ashqiya Ke Be-Parda Main Khari Thi.
Guzari Hai Kya Behan Par Kaise Bataon Bhai.
Sajjad Ke Yeh Dil Par Dushwar Marhala Tha.
Zanjeer Ko Sanbhale Bemar Ro Raha Tha.
Aal-e-Nabi Khulay Sar Darbar Mein Jo Aayi.
Sab Se Bari Musibat Kya Hai Kisi Ne Pocha.
Bemar Sar Jhuka Kar Rotay Howay Yeh Bola.
Behno Ka Sham Jana Zainab Ki Be-Ridai.
Iss Aik Sanhe Par Aksar :MUHIB: Ne Socha.
Barbad Ho Gaya Jab Aal-e-Nabi Ka Kunba.
Bad-e-Hussain Kyun Kar Baqi Rahi Khudai.
Poet: :Muhib Fazli:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2006-07:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!