Jab Bhi Ho Karbobala Aap Ka Jana Bhaiya Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Jab Bhi Ho Karbobala Aap Ka Jana Bhaiya Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu

جب بھی ہو کرب و بلا آپ کا جانا بھیا

Aakhri Bar Mea Hal-e-Mosibat Sun Lo.
Bhai Sajjad Sakina Ki Wasiyat Sun Lo.
Jab Bh Ho Karb-o-Bala Aap Ka Jana Bhaiya.
Meri Rodad Chacha Jaan Ko Sunana Bhaiya.
Yeh Wasiyat Meri Tum Bhool Na Jana Bhaiya.
Woh Agar Pochein Mera Hal Chacha Se Kehna.
Meri Neendein Hoein Pamal Chacha Se Kehna.
Taziyano Ka Sab Ahwaal Chacha Se Kehna.
Ab Bhi Neelay Hain Mere Gaal Chacha Se Kehna.
Jo Sitam Mujh Pa Howay Sare Batana Bhaiya.
Paon Jalte The Mere Hoti THi Eza Mujh Ko.
Chaon Mein Bethne Dete Na The Aada Mujh Ko.
Jab Bhi Chalte Hoye Gash Dhop Mein Aaya Mujh Ko.
Aount Ki Pusht Se Jalad Ne Bandha Mujh Ko.
Main Bohat Roi Magar Shimar Na Mana Bhaiya.
Jab Harm Qaid Howay Main Ne Chacha Ko Dhonda.
Jab Bandhe Barah Galay Main Ne Chacha Ko Dhonda.
Jab Gohar Mere Chine Main Ne Chacha Ko Dhonda.
Jab Mujh Duray Lage Main Ne Chacha Ko Dhonda.
Woh Agar Hote Satata Na Zamana Bhaiya.
Qaid Khane Se Hi Mansoob Hai Ab Zaat Meri.
Ho Ga Ahsan Nibha Do Gaye Agar Baat Meri.
Chain Se Qabar Mein Kat Jaye Gi Har Raat Meri.
Jeete Je Unn Se Na Ho Payi Mulaqat Meri.
Sar Chacha Jaan Ka Meri Qabar Pe Lana Bhaiya.
Karbala Jao Tu Aisa Nahi Hone Dena.
Un Ko Tanhai Ka Sadma Nahi Hone Dena.
Mere Ammo Ko Akela Nahi Hone Dena.
Qabar-e-Ghazi Pe Andhera Nahi Hone Dena.
Ik Diya Meri Taraf Se Bhi Jalana Bhaiya.
Mere Ahsas-e-Ghareebi Se Bachana Un Ko.
Yaad Wo Waqt-e-Mosibat Na Dilana Un Ko.
Mera Ahwal-e-Kaneezi Na Sunana Un Ko.
Hashmi Shair Hain Mat Yad Dilana Un Ko.
Main Ne Chahti Phir Hashar Uthana Bhaiya.
Qaid Se Choot Ke Jab Karb-o-Bala Jao Gaye.
Pehle Tu Karna Salaam Un Ko Meri Janib Se .
Phir Batana Keh Yeh Din Kaise Guzare Main Ne.
Our Jab Phool Charhane Lago Oss Turbat Pe.
Meri Janib Se Rida Meri Urhana Bhaiya.
Sun Ke :ARIF: Yeh Wasiyat Thi Qayamat Barpa.
Lash-e-Abbas Tarpti Thi Sar-e-Karb-o-Bala.
Our Sajjad Ki Aankhon Se Laho Jari Tha.
Jis Ghari Bali Sakina Ne Yeh Aahista Kaha.
Meri Maiyat Ko Aandhere Mein Uthana Bhaiya.
Poet: :Arif India:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2016-17:
#JabBhiHoKarbobala
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!