Saja Rakhi Hai Jashan-e-Aamad-e-Sarkar Pe Dunya Lyrics Urdu 2019
Saja Rakhi Hai Jashan-e-Aamad-e-Sarkar Pe Dunya.
Diya Ik Qabar-e-Zahra Pe Jala Daitay Tu Kya Hota?
Nabi Ki Qabar Pe Sab Ummati Mehway-e-Ziyarat Hain.
Baqi Se Aaj Tum Pehra Hata Daitay Tu Kya Hota?
Musalmano Nabi Ki Qabar Pe Khushbu Chirakte Ho.
Do Qatray Qabar-e-Zahra Pe Gira Daitay Tu Kya Hota?
Nabi Ke Zairon Ke Wastay Saya Muyassar Hai.
Lahad Zahra Ki Hai Saya Bana Daitay Tu Kya Hota?
Musalmano Muhammad Mustafa Baba Hain Zahra Ke.
Nabi Ki Tarha Qabar Iss Ki Saja Daitay Tu Kya Hota?
Nabi Ke Sath Ghairon Ka Banaya Kis Liye Madfan.
Nabi Ke Apne Bachon Ko Jagah Daitay Tu Kya Hota?
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Shikwa-e-Faqeer Nazm
#8Shawwal #YoumeInhedam #JannatulBaqi