Zameen-e-Karbala Walay Tujhe Awaz Daitay Hain Lyrics 2017
Zameen-e-Karbala Walay Tujhe Awaz Daitay Hain Mir Hasan Mir.
Bahatar Be-Kafan Lashay Tujhe Awaz Daitay Hain.
Hai Kahin Ganjay-e-Shaheedan Mein Rakhi Gathri Koi.
Kisi Ki Lash Ke Tukray Tujhe Awaz Daitay Hain.
Chalte Naqay Se Giray Jo Maon Ki Aagosh Se.
Woh Sare Be-Zubaan Bache Tujhe Awaz Daitay Hain.
Tishnagi Aa Kar Sakina Our Asghar Ki Bujha.
Na Jane Kab Se Woh Pyase Tujhe Awaz Daitay Hain.
Al-Ajal Kehti Hain Jholay Ki Sulagti Lakriyaan.
Kahin Jalte Howay Khaimay Tujhe Awaz Daitay Hain.
Unn Ki Mazloomi Musaiyab Ki Zameen Se Poch Le.
Woh Do Bachay Ruqaiya Ke Tujhe Awaz Daitay Hain.
Jalte Khaimo Se Bacha Kar Layi Jo Sajjad Ko.
Ossi Ke Paon Ke Chalay Tujhe Awaz Daitay Hain.
Jo Shaheedan-e-Wilay-e-Murtaza Hai Aaj Bhi.
Kafan Bandhe Howay Sar Se Tujhe Awaz Daitay Hain.
Halqa-e-Matam Mein Aa Kar Aye :TAKALLUM: Matami.
Tujhe Awaz Dete The Tujhe Awaz Daitay Hain.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2017-18:
#ZameeneKarbalaWalay
#NohayLyrics
#tajpoint