Al Madad Maula Raza Mir Hasan Mir Lyrics 2003
Al Madad Maula Raza Al Madad Maula Raza Mir Hasan Mir
Rooz-o-Shab Sham-o-Sahar Yeh Wazeefa Hai Mera.
Gardish-e-Ayyam Mein Ghir Kar Main Bilkul Chor Tha.
Zindagi Se Door Apne Aap Se Bhi Door Tha.
Oss Ghari Mujh Ko Tere Dar Ka Sahara Mil Gaya.
Kon Hai Dil Ki Muradein Jo Yahan Pata Nahi.
Aap Ke Dar Se Koi Bhi Khali Hath Aata Nahi.
Hum Ko Dar Se Aap Ke Auqaat Se Zyda Mila.
Khalq Mein Mashoor Hai Mushkil Kushai Aap Ki.
Kar Rahe Hain Jan-o-Dil Midhat Sarai Aap Ki.
Door Ho Mushkil Hamari Aye Mere Mushkil Kusha.
Jo Tabeebon Ki Nazar Mein Tha Mareez-e-La-Elaj.
De Rahe Thi Maut Ko Bhi Zindagi Jis Ki Kharaj.
Woh Mareez-e-La-Dawa Dar Par Tere Acha Howa.
Mila Nahi Sakti Mere Maula Teri Koi Misal.
Jan-e-Ahmad Rooh-e-Haider Fatima Zahra Ke Lal.
Aye Shehanshah-e-Khurasaan Ibn-e-Shah-e-Karbala.
Aaj Bhi Dunya Mein Jari Hai Sakhawat Aap Ki.
Zarf Se Barh Kar Atta Karna Hai Adat Aap Ki.
Ghaib Se Har Aik Momin Ka Ho Ab Qarza Adda.
Woh Shah-e-Wala Ke Matamdar Jo Bemar Hain.
Har Ghari Jo Ishq-e-Ahl-e-Bait Se Sarshar Hain.
Syed-e-Sajjad Ke Sadqay Mein Woh Paein Shifa.
Dobti Kashti Ko Tofan Mein Kinara Mil Gaya.
Gham Ke Mare Be-Saharon Ko Sahara Mil Gaya.
:MIR: Ne Be-Sakhta Rote Howay Jis Dam Kaha.
Poet: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir
2002-03:
2002-03:
#Manqabat #ImamRaza
#ManqabatLyrics
#tajpoint