Hamare Aathwein Quran Hain Raza Maula Lyrics 2019
Hamare Aathwein Quran Hain Raza Maula.
Khuda Ka Deen Pe Ahsan Hain Raza Maula.
Zamane Walon Na Mashhad Talak Kaho Mehdod.
Qasam Se Malik-e-Iran Hain Raza Maula.
-->
Jo Bheek Detey Hain Sare Zamane Ko Maula.
Tumhare Dar Ke Woh Darban Hain Raza Maula.
Hai Jashan Ghar Pe Mere Shehzadi-e-Qum Ka.
Khasosi Aaj Ke Mehman Hain Raza Maula.
Na Aagay Bolo Nakerain Se Kaha Main Ne.
Keh Mere Syed-o-Sultan Hain Raza Maula.
Yeh Baat Mujh Ko Samajh Aa Gayi Thi Mashhad Mein.
Riza-e-Rab-e-Meharban Hain Raza Maula.
Qasam Tumhari Hai :AFRAZ: Ki Sabhi Pushtein.
Tumhare Naam Pe Qurban Hain Raza Maula.
Poet: :Afraz Jafri:
#Manqabat #ImamRaza
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Hamare Aathwein Quran Hain Raza Maula Lyrics 2019 Write Up Poster Image
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
