Gham Shah-e-Karbala Ka Manana Na Chorna Lyrics In Urdu and Roman Urdu
غم شاہِؑ کربلا کا منانا نہ چھوڑنا
Hargiz Gham-e-Hussain Mein Aana Na Chorna.
Razi Rahe Gi Tum Se Sakina Hussain Ki.
Abbas Ke Alam Ko Uthana Na Chorna.
Aati Hain Sar-e-Farsh-e-Azza Maa Hussain Ki.
Yeh Farsh-e-Azza Sheh Ka Bichana Na Chorna.
Taboot Alam Taziye Jhula Sageer Ka.
Dekho Kabhi Bhi In Ko Sajana Na Chorna.
Yeh Ik Ghareeb Maa Ki Tamana Hai Momino.
Mehndi Bin-e-Hasan Ki Sajana Na Chorna.
Majlis Hussain Ibn-e-Ali Ki Sada Rahe.
Yeh Majlis-e-Hussain Karana Na Chorna.
Karb-o-Bala Ke Pyasay Musafir Ki Yaad Mein.
Pyason Ko Yeh Sabeel Pilana Na Chorna.
Fatway Lagein Gaye Tum Pe Zamane Ke Lakh Par.
Tum Matmi Ho Khon Bahana Na Chorna.
Matam Ke Sath Bachoon Ko Sikhao Namazein.
Bachoon Ko Marifat Yeh Dilana Na Chorna.
Hayya Alal Azza Ki Sada Gonjti Rahe.
Matam Ki Saf Pe Sab Ko Bulana Na Chorna.
:DANISH: Hussain Se Hai Wafa Majlis-o-Matam.
Shabir Se Wafa Yeh Nibhana Na Chorna.
Poet: :Danish Abbas Danish:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com