Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1997
Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey Nadeem Sarwar.
Hai Soag Jis Jagah Bhi Sheh-e-Mashreqain Ka.
Khud Pursa Zahra Leti Hain Iss Noor-e-Ain Ka.
Rona Sawab Jis Pe Na Rona Haram Hai.
Chashm-e-Khuda Mein Iss Ka Bara Ayhteram Hai.
Yeh Majlis-e-Hussain Alh Aslam Hai.
Yeh Majlisein Hain Hamd-e-Khuda Naat-e-Mustafa.
Inn Majlison Mein Hota Hai Quran Lab Kusha.
Inn Majlison Se Milta Hai Janat Ka Rasta.
Inn Majlison Ki Hoti Hai Kuch Aisay Ibtida.
Zakir Ke Lab Pe Pehle Khuda Ka Kalam Hai.
Inn Majlison Mein Hoti Hai Insaniyat Ki Baat.
Zikar-e-Gham-e-Hussain Hai Wahdaniyat Ki Baat.
Yeh Majlisein Rasool Ki Haqaniyat Ki Baat.
Rad Karti Hain Yeh Majlisein Sufyaniyat Ki Baat.
Inn Ke Sabab Tu Hur Bhi Alh Aslam Hai.
Inn Majlison Ko Ajar-e-Risalat Kaha Gaya.
Rooz-e-Azal Se Roney Ko Fitrat Kaha Gaya.
Dil Ki Lughaat Mein Iss Ko Muhabbat Kaha Gaya.
Yani Issay Batool Ki Sunat Kaha Gaya.
Har Roney Wali Aankh Ko Mera Salam Hai.
Ik Majlis-e-Azza Jo Hoi Mulk-e-Sham Mein.
Zainab Ne Saf Bichayi Thi Yaad-e-Imam Mein.
Aanso Chupay Hoye They Shaheedon Ke Naam Mein.
Matam Howa Jo Yaad-e-Sheh-e-Tashna Kam Mein.
Tab Se Gham-e-Hussain Zamane Mein Aam Hai.
Majlis Mein Zikar-e-Bali Sakina Kiya Karo.
Pani Piyo Tu Yaad Sheh-e-Karbala Ki Ho.
Majlis Mein Tazkira Ali Asghar Ka Jab Suno.
Ik Aah Sard Bhar Ke Tarap Kar Yehi Kaho.
Asghar Bara Shaheedon Mein Tera Maqam Hai.
Iss Majlis-e-Hussain Ka :SARWAR: Hai Noha Khuwaan.
Thakti Nahi Hai Zikar-e-Hussaini Mein Youn Zabaan.
Ghuti Mein Ashk-e-Gham Ko Pilati Rahi Hai Maa.
Walid Ne Di Hai Kan Mein Nohon Ki Woh Azaan.
:REHAN: Jis Se Sare Zamane Mein Naam Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1996-97:
#YehMajlisEHussain
#NohayLyrics
#tajpoint