Hurr Aa Raha Hai Akbar Seene Ossay Lagao Lyrics 2019

Hurr Aa Raha Hai Akbar Seene Ossay Lagao Lyrics 2019

Hurr Aa Raha Hai Akbar Seene Ossay Lagao Mir Hasan Mir

Hurr Ibn Riyahi Aa Ja Mere Bhai.

Hurr Aa Raha Hai Akbar Seene Ossay Lagao.
Mehman Ko Humare Khaimay Mein Le Ke Aao.

Khud Yaad Hoga Ossko Pani Tha Oss Ne Roka.
Khuddar Woh Bohat Hai Sharminda Hum Se Hoga.
Pyasay Hain Sarey Bachay Oss Ko Na Yeh Batao.

Dekho Woh Chal Raha Hai Maidaan Mein Larkhara Kar.
Girnay Se Pehley Akbar Oss Ko Sanbhalo Ja Kar.
Aye Mere Shehzaday Jaldi Qadam Barhao.

Abbas Apne Dil Se har Baat Saaf Kardo.
Maa Fatima Ke Sadqay Hurr Ko Moaf Kar Do.
Ja Kar Alam Ke Oss Ko Saye Mein Le Ke Aao.

Beta Hussain Qaidi Kaisay Kissi Ko Dekhey.
Meri Taraf Se Kholo Tum Oss Ke Hath Ja Ke.
Baba Khafa Nahi Hain Ja Kar Ossay Batao.

Tum Se Bhi Pehlay Marne Jaye Ga Oss Ka Beta.
Jee Bhar Ke Dekh Le Woh Apne Pisar Ka Chehra.
Kam Waqt Reh Gaya Hai Ja Kar Ossay Batao.

Ta Hashar Yeh Kareemi Sab Yaad Hi Rakhein Gaye.
Mehman Ka Paseena Khud Saaf Hum Karein Gaye.
Fizza Hamari Maa Ka Romal Le Ke Aao.

Jis Dam Suni Ali Ki Beti Ne Yeh Sadaein.
Aansu Baha Ke Oss Ko Deney Lagin Duaein.
Bachoon Se Phir Yeh Bolein Hurr Ko Galay Lagao.

Maa Fatima Ke Lab Par Oss Ke Liye Dua Hai.
Ghurbat Mein Oss Ne Hum Par Ahsan Kar Diya Hai.
Hurr Ke Ghulam Ko Bhi Izzat Se Le Kar Aao.

:SAJJAD: Kya Biyaan Ho Kehti Thin Bint-e-Zahra.
Bhai Ki Jaa Bachane Ik Our Habib Aaya.
Mera Salam Fizza Pohancha Ke Oss Ko Aao.

Poet: :Mir Sajjad Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2019-20:
Composition: :Waheed Kamalya:

New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019

#HurrAaRahaHaiAkbar
#NohayLyrics
#tajpoint

Hurr Aa Raha Hai Akbar Seene Ossay Lagao Lyrics 2019 Write Up Poster Image

Hurr Aa Raha Hai Akbar Seene Ossay Lagao Lyrics 2019

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!