Aye Hurr Jawan Ka Lasha Uthana Mushkil Lyrics 2019
Aye Hurr Jawan Ka Lasha Uthana Mushkil Hai.
Pisar Ke Seene Se Barchi Churana Mushkil Hai.
Dil-e-Pidar Ki Jo Halat Hai Hurr Samjhta Hai.
Tumhare Sabar Ki Lekin Main Daad Deta Hoon.
Keh Jaisay Tum Yahan Aaye Ho Aana Mushkil Hai.
Jo Haal Hona Hai Qasim Ka Iss Ka Haal Na Ho.
Keh Tere Lal Ki Maiyyat Tu Payemaal Na Ho.
Main Janta Hoon Ke Tukray Uthana Mushkil Hai.
Hussain Kehte They Ro Kar Yeh Hurr Ke Betey Se.
Samaj Raha Hoon Aziyyat Teri Mere Bachay.
Bureeda Halq Se Youn Muskurana Mushkil Hai.
Pukara Hurr Ka Pisar Ro Ke Aye Sheh-e-Asmat.
Salam Ke Liye Uthne Ki BHi Nahi Himmat.
Keh Pyasay Honton Se Maula Bulana Mushkil Hai.
Ghareeb Baap Ka Yeh Imtihaan Nahi Loon Ga.
Tumhare Lal Ko Kandhoon Pe Main Uthaon Ga.
Utha Ke Lash Ko Khaimo Mein Jana Mushkil Hai.
Yeh Waqt Kaisa Hai Tum Ko Khabar Nahi Bhai.
Tumhare Sath Tumhari Behan Nahi Aayi.
Jigar Ka Zakhm Phophi Ko Dikhana Mushkil Hai.
Tumhari Zoja Ko Zainab Sanbhalti Bhaiyya.
Ajeeb Waqt Hai Maa Ko Batein Gaye Aada.
Jo Baap Ke Liye Maa Ko Batana Mushkil Hai.
Youn Zard Chehra Hai Jaisay Keh Jaan Nikalti Hai.
Main Dekhta Hoon Kamar Teri Jhukti Jati Hai.
Tere Liye Yeh Shahadat Bhulana Mushkil Hai.
Sadaein Aati Thin :AKBAR: Yeh Hurr Ke Lashay Se.
Akelay Lasha-e-Akbar Uthao Gaye Kaisay.
Kaha Tha Aap Ne Maiyyat Uthana Mushkil Hai.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha KhuwaN: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volume: :Syed Raza Abbas Zaidi 2019-20:
Composition: :Raza Shah:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#NohayLyrics
#tajpoint