Jo Farsh-e-Azza Ghar Mein Bichata Nahi Hoga Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Jo Farsh-e-Azza Ghar Mein Bichata Nahi Hoga Lyrics In Urdu and Roman Urdu

جو فرشِ عزا گھر میں بچھاتا نہیں ہوگا

Koi Bhi Ho Woh Sun Lo Hamara Nahi Hoga.

Mango Tu Dil Se Dar Pe Hussain Ibn-e-Ali Ke.
Woh Bhi Mile Ga Jo Kabhi Socha Nahi Hoga.
Sajda Woh Qabool Ho Nahi Sakta Hai Keh Jis Mein.
Zahra Tere Dushman Pe Tabara Nahi Hoga.
Main Kaise Ossko Manu Musalman Aye Waiz.
Jis Shaks Ka Ghaibat Pe Aqeeda Nahi Hoga.
Zakir Hoon Sheh-e-Deen Ka Fankar Nahi Hoon.
Mujh Se Kabhi Iss Zikar Ka Soda Nahi Hoga.
Pur Noor Ho Gi Aal-e-Muhammad Ke Noor Se.
Turbat Mein Kabhi Meri Andhera Nahi Hoga.
Matam Mein OUr Namaz Mein Tafreeq Jo Kare.
Oss Shaks Se Razi Kabhi Maula Nahi Hoga.
Har Aisay Namazi Ki Shifat Nahi Hogi.
Matam Mein Hath Jo Bhi Uthata Nahi Hoga.
Wosat Na Osske Rizq Mein Aayegi Kabhi Bhi.
Abbas Ki Jo Nazar Dilata Nahi Hoga.
Samjhota Karon Hazrat-e-Haider Ki Wila Par.
Mujh Se Nahi Hoga Nahi Hoga Nahi Hoga.
Akbar Ki Azaan Kehti Rahi Lashkar-e-Shar Se.
Shabir Nahi Hongay Tu Sajda Nahi Hoga.
:AFRAZ: Aane Do Mere Mehdi Imam Ko.
Maslak Nahi Hoga Koi Firqa Nahi Hoga.
Poet: :Afraz Jafri:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!