Kaisay Jawaan Pisar Ka Lasha Uthaye Ga Lyrics In Urdu 2019
Kaisay Jawaan Pisar Ka Lasha Uthaye Ga.
Shabir Musibat Mein Haye Kis Ko Bulaye Ga.
Hai Seena-e-Akbar Mein Barchi Lagi Hoi.
Yeh Gham Mere Hussain Ko Zyda Rulaye Ga.
Khaimay Se Kiya Maa Ne Bas Bain Haye Akbar.
Ab Kya Tumhare Bad Mujhe Chain Aaye Ga.
Tar Khoon Mein Howa Akbar Tu Shabir Ne Kaha.
Baba Tera Zainab Ko Ab Kya Bataye Ga.
Ro Kar Pukari Zainab Abbas Ab Tu Aa.
Shabir Se Ab Akbar Uthaya Na Jaye Ga.
Matam Bapa Howa Hai Sadaat Mein Aye Joan.
:FARMAN: Yehi Noha Ta Hashar Sunaye Ga.
Poet: :Farman Zaki:
Noha Khuwan: :Mir Joan Muhammad:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#KaisayJawaanPisar
#NohayLyrics
#tajpoint
