Aisa Alam Hai Kahan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2004

Aisa Alam Hai Kahan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2004

Aisa Alam Hai Kahan Nadeem Sarwar.

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawaan Hai Kahan.
Aisi Wafa Hai Kahan Aisa Nishaan Hai Kahan.

Yeh Hai Abu Talib Ka Gharana Iss Pe Khuda Ka Khas Karam Hai.
Sare Arab Mein Sare Ajam Mein Kis Ko Mila Yeh Jah-o-Hasham Hai.
Inn Mein Koi Yaseen-o-Muzamil Inn Mein Koi Sardar-e-Iram Hai.
Oss Ki Alag Hi Shan Hai Maula Jis Ko Mila Haider Ka Alam Hai.

Apne Alam Ke Saye Mein Iss Ko Shair-e-Khuda Ne Pala Hai.
Aab-e-Shujat Iss Ko Pila Kar Rang-e-Wafa Mein Dhala Hai.
Chaar Alamdaron Mein Hai Shamil Yeh Bhi Naseebon Wala Hai.
Hamza-o-Jafar Ki Qowat Ka Yeh Bhi Aik Hawala Hai.

Kaisa Saja Hai Kaisa Haseen Hai Karb-o-Bala Mein Shah Ka Lashkar.
Youn Tu Sabhi Hain Shair-e-Dilawar Aoun-o-Muhammad, Qasim-o-Akbar.
Ibn-e-Mazahir, Wehab-e-Kalbi, Jaun Bhi Hur Bhi Sare Dilawar.
Apni Jagah Yeh Sab Hain Bahadur Foaj Mein Teri Aye Sheh-e-Safdar.

Aye Mere Ghazi Tere Alam Ke Saye Mein Sab Kuch Milta Hai.
Zair-e-Alam Jo Mangein Duaein Unn Ki Khuda Bhi Sunta Hai.
Rizq Azadari Ka Atta Kar Tu Bhi Ali Ka Beta Hai.
Baab-e-Hawaij Mere Ghazi Daman Tu Bhi Bharta Hai.

Sham Ke Lashkar Mein Hal Chal Thi Kaun Jari Ab Aata Hai.
Borhay Jawano Se Kehte They Yeh Tu Ali Aata Hai.
Sar Pe Khuda Thokar Mein Qaza Hai Qehar-e-Jali Ab Aata Hai.
Kehna Para Ahmad Ko Ali Se Tera Wasi Ab Aata Hai.

Umm Ul-Banin Ko Gaud Mein Rab Ne Aisa Gul Hasas Rakha.
Maula Hussain Ne Yeh Shehzada La Ke Alam Ke Pas Rakha.
Iss Ki Behan Zainab Ne Iss Ka Naam Jari Abbas Rakha.
Maula Ali Ne Mustaqbil Ka Keh Kar Yeh Ehsas Rakha.

Baad Namaz-e-Fajar Ziyarat Tere Alam Ki Karta Hoon.
Sharf Ghulami Ka Mil Jaye Main Yeh Wazeefa Parhta Hoon.
Kar Ke Ziyarat Tere Alam Ki Phir Main Ghar Se Chalta Hoon.
Saye Mein Chodah Masoomo Ke Shukar-e-Khuda Mein Rehta Hoon.

Hum Tu Sag-e-Darbar-e-Ali Hain Khas Yeh Tujh Se Rishta Hai.
Jad Bhi Hai Tera Kul Ka Maula Tu Bhi Hamara Aaqa Hai.
Tere Faqeeron Mein Aye Ghazi Arsh Nasheen Bhi Rehta Hai.
Sindh Mein Aao Maula Qadam Par Lal Qalandar Kehta Hai.

Hum Nahi Bholay Ab Tak Ghazi Zainab Kaisay Bholay Gi.
Mashk-o-Alam Ko Doosh Pe Rakh Kar Haye Teri Rukhsat Ghazi.
Khali Koza Hath Mein Thamay Tujh Se Sakina Lipati Thi.
Gird-e-Alam Ke Matam Kar Ke Har Shehzadi Kehti Thi.

Teri Shahadat Se Kunbay Par Kaisi Qayamat Toot Gayi.
Jis Ko Kaha Kartay They Aaqa Qatal Howa Woh Bhai Bhi.
Sar Se Chini Zainab Ke Chadar Teri Sakina Qaid Hoi.
Haye Teri Majbori Ghazi Maa Zahra Yeh Kehti Rahi.

Ab Bhi Azza Khano Mein Parcham Tera Aisay Rehta Hai.
Sham Dhalay Aisa Lagta Hai Koi Lipat Ke Rota Hai.
Tere Alam Ka Surkh Pharera Haye Sakina Kehta Hai.
Tum Hi Kya :REHAN-o-SARWAR: Sab Ki Zabaan Pe Rehta Hai.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2003-04:

#AisaAlamHaiKahan
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Aisa Alam Hai Kahan Nadeem Sarwar

Mola Ghazi Abbas Noha Aisa Alam Hai Kahan Nadeem Sarwar Lyrics
Hazrat Abbas Alamdar Noha Aisa Alam Hai Kahan Nadeem Sarwar Lyrics Urdu

Aisa Alam Hai Kahan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2004 Write Up Poster Image

Aisa Alam Hai Kahan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2004

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!