Karbala Chalo Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2019
Karbala Chalo Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir
Karbala Chalo Karbala Chalo Karbala Chalo.
Lo Aa Gaya Bulawa Mazloom-e-Karbala Ka.
Maa Muntazir Hai Betay Ke Ghamkhuwar Aaein Gaye.
Aa Kar Mere Hussain Pe Aansu Bahein Gaye.
Bint-e-Rasool Takti Hai Tum Sab Ka Rasta.
Zahra Ka Lal Qabar Mein Hasrat Yeh Le Gaya.
Akbar Ka Kalma Goyon Ne Pursa Nahi Diya.
Ab Sheh Ko Pursa Dena Hai Kariyal Jawan Ka.
Jee Bhar Ke Apne Bhai Ko Zainab Na Ro Saki.
Majlis Zameen-e-Karb-o-Bala Par Na Ho Saki.
Arman-e-Syeda Mein Bichane Saf-e-Azza.
Khanjar Talay Hussain Ki Aahein Gawah Hain.
Hal Min Mugeesna Ki Sadaein Gawah Hain.
Kab Se Humein Bulata Hai Zahra Ka Ladla.
Jis Khak Ne Chupaya Tha Bint-e-Ali Ka Sar.
Jis Ne Kafan Banaya Tha Lashay Hussain Par.
Oss Karbala Ki Khak Ka Karne Ko Shukriya.
Bazu Kata Ke Jis Jagah Abbas So Gaye.
Arman Bawafa Ke Jahan Dafan Ho Gaye.
Aansu Wahan Giraein Gaye Pani Jahan Gira.
Qismat Se Waqt Aaye Ga Jab Yeh Hayaat Mein.
Tum Apni Betiyon Ko Bhi Le Jana Sath Mein.
Akbar Ko Woh Sunaein Gi Sughra Ka Marsiya.
Ik Saal Bad Bhai Ka Sar Jis Ghari Mila.
Abid Se Ro Ke Kehti Thin Yeh Bint-e-Syeda.
Dafnaon Gi Main Hathon Se Sar Apne Bhai Ka.
Chehlum Bhi Apne Baap Ka Bachi Na Kar Saki.
Roti Hoi Woh Sham Ke Zindaan Mein Mar Gayi.
Aye Kash Koi Keh Dey Sakina Se Yeh Zara.
Iss Saal Arbaeen Pe Aisa Ho Ayehtamam.
Aye Kash Zairon Mein Ho Shamil Hamara Naam.
Our Dein Humein Bhi Hazrat-e-Abbas Yeh Sada.
Ghurbat Musafiron Ki Musafir Samajh Sakein.
Kaise Chali Thin Bibiyaan Andaza Ho Humein.
Aansu Bahatay Shehar-e-Najaf Se Pyada Pa.
Chehlum Pe Jaisey Aati Hain Zainab Bhi Sham Se.
Izn-e-Safar Mile Jo :TAKALLUM: Imam Se.
Har Ik Qadam Zahoor Ki Karte Howay Dua.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2019-20:
Composition: :Shoib Raza Shobi and Mir Hasan Mir:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#KarbalaChalo
#NohayLyrics
#tajpoint
Safar e Ishq Noha Karbala Chalo Lyrics In Urdu