Chalo Karbala Chalo Karbala Muhammad Raza Mungla Lyrics Urdu 2024
Chalo Karbala Chalo Karbala Muhammad Raza Mungla.
Sar Pe Ghazi Ka Alam Our Maqsood-e-Haram.
Soye Haram Barhtey Rahein Youn Hi Qadam.
Dil Mein Liye Ishq-e-Shehanshah e Ummam.
Chalo Karbala Chalo Karbala.
Aye Azadar-e-Hussain Ibn-e-Ali Chalo Karbala Chalo Karbala.
Janib-e-Khuld Jo Jata Hai Woh Rasta Hai Yehi Chalo Karbala Chalo Karbala.
Saltanat Hai Mere Sardar Ki Kuch Aisi Haseen.
Aasmaan Khak Ka Hai Our Wahan Nori Zameen.
Mojzati Hai Fiza Khak Hai Khak-e-Shifa.
Sheh Ke Qadmo Se Orri Dhool Dawa Har Gham Ki.
Apne Zawwaron Ko Bin Mangay Jo Karta Hai Atta.
Jis Ke Gunbad Talay Rad Hoti Nahi Koi Dua.
Juz Hussain Ibn-e-Ali Ba Khuda Koi Nahi.
Misal-e-Hur Tum Ko Bana Dein Gay Woh Qismat Ka Dhani.
Qarz Le Kar Chalo Wadah Hai Mere Maula Ka.
Apne Zair Ko Main Maqroz Na Rehne Doon Ga.
Hashar Mein De Ga Khuda Tum Ko Rutba Bhi Juda.
Marhaba Zair-e-Shabbir Pukarein Gay Sabhi.
Arbaeen Ka Tu Hai Dunya Mein Nahi Koi Badal.
Karbala Jate Hain Zawwar Najaf Se Paidal.
Chahe Mazhab Ho Koi Qaid Firqay Ki Nahi.
Apne Dil Mein Liye Bas Ishq-e-Hussain Ibn-e-Ali.
Lab Pe Noha Ho Tu Aankhon Se Rahein Ashk Rawaan.
Har Ghari Chalte Raho Kartay Hoye Aah-o-Fogaan.
Karbala Walon Ka Gham Kaisay Hoga Kabhi Kam.
Dil Mein Zindah Rahe Har Dam Gham-e-Aoulad-e-Nabi.
Alqama Ke Jo Kinaray Hai Saja Ik Darbar.
Chal Ke Abbas Ki Jageer Ko Dekho Ik Bar.
BiBi Zahra Ki Dua Hai Wohi Baab-e-Atta.
Saqqa Bachoon Ko Bana Kar Lo Dua Pyason Ki.
Ik Maqam Aisa Hai Mojood Banam-e-Akbar.
Noha Parhna Wahan Tum Shabeeh-e-Payamber Akbar.
Haye Laila Ka Jawaan Jake Kehna Yeh Wahan.
Jahan Barchi Ki Anni Seena e Akbar Mein Gari.
Jana Harmain Se Ho Kar Tilla e Zainbiya.
Waan Se Shabbir Ki Turbat Ki Taraf Rukh Karna.
Hath Rakh Kar Dil Par Sochna Woh Manzar.
Apne Bhai Ka Gala Katta Behan Dekhti Thi.
Iltemas Itni Hai :ZAHRA:-o-:RAZA: Ki Maula.
Hum Ko Mehshar Mein Bhi Mehroom Na Hone Dena.
Paish-e-Khidmat Ya Imam Hum Karein Apna Kalam.
Nokari Aap Ki Hasil Rahe Hum Ko Younhi.
Poetess: :Zahra Ali:
Noha Khowan: :Muhammad Raza Mungla:
Noha Volume: :Muhammad Raza Mungla 2024-25:
Composition: :Raza Shah:
#ChaloKarbala
#NohayLyrics
#tajpoint