Al-Hafeez-o-Al-Amaan Lyrics In Urdu and Roman Urdu
الحفیظ و الاماں
Sham Ki Galiyaan Kuja Our Ali Ki Betiyaan Al-Hafeez-o-Al-Amaan.
Aankh Se Bemar Ki Hai Khon Ka Darya Rawaan Al-Hafeez-o-Al-Amaan.
Baal Chehray Par Pare Hain Our Hathon Mein Rasan.
Aa Gayi Darbar Mein Be-Parda Ghazi Ki Behan.
Ro Raha Hai Ba-Wafa Ka Sar Sar-e-Nook-e-Sinna.
Ghairat-e-Sajjad Ne Yeh Zabt Kaise Kar Liya.
Yeh Tu Bas Bemar Jane Janta Hai Ya Khuda.
Qafilay Ko Kis Tarha Le Kar Chala Woh Sarbaan.
Kal Talak Kofay Ki Shehzadi Thi Zahra Ki Pali.
Aik Chadar Ki Sawali Hai Wohi Bint-e-Ali.
Bain Karte Hain Ali Our Fatima Noha Kuna.
Aaiye Yasrab Se Baba Fatima Ne Di Sada.
Aapko Ummat Se Yeh Ajar-e-Risalat Hai Mila.
Aaj Hai Aal-e-Nabi Na Meharmo Ke Darmiyaan.
Ho Ke Khush Yeh Sara Manzar Dekhte They Ummati.
Ik Nabi Zadi Ke Peeche Ik Nabi Zadi Chupi.
Naam They Syedaniyo Ke Our Zalim Ki Zabaan.
Jane Kis Dil Se :NISA: Ne Kar Liya Noha Tamam.
Ro Diye Ahl-e-Azza Bhi Our :WAJHI:-e- Khush Kalam.
Bad-e-Majlis Bhi Raha Sab Ke Laboon Par Yeh Biyaan.
Poet: :Khanam Nisa:
Soz: :Syed Zil-e-Raza Zaidi:
Noha KhuwaN: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi
2019-20:
2019-20:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com