Jab Ali Mere Janazay Ko Uthaya Jaye Lyrics In Urdu 2020
Jab Ali Mere Janazay Ko Uthaya Jaye.
Mujh Ko Noha Mere Baba Ka Sunaya Jaye.
Suniye Hasnain Ke Baba Yeh Wasiyat Hai Meri.
Mere Baba Ke Janazay Mein Na Aaya Jo Bhi.
Unn Ko Hargiz Na Janazay Mein Bulaya Jaye.
Tukray Tehreer Ke Kar Walay Zameen Par Phainki.
Mujh Ko Darbar Mein Zalim Ne Pukara Jhoti.
Kiya Karon Mujh Se Woh Manzar Na Bhulaya Jaye.
Haye Amma Na Rahein Unn Ko Bata Dena Magar.
Mere Marne Ki Khabar Unn Ko Suna Dena Magar.
Pehle Bachoon Ko Mere Khana Khilaya Jaye.
Main Kabhi Bhool Nahi Sakti Musibat Apni.
Jab Woh Darwaza Giraya Main Sada Deti Rahi.
Kaisay Darwaza Hataon Na Hataya Jaye.
Pasliyaan Toot Chuki Hain Yeh Bata Sakti Nahi.
Hath Pehlu Pe Jo Rakha Hai Utha Sakti Nahi.
Mujh Se Bachoon Ko Bhi Seene Na Lagaya Jaye.
Mang Kar Dekhtey De Deti Woh Sari Dolat.
Aye Musalmano Kaho Kiya Yeh Zarori Tha Bohat.
Fatima Bint-e-Muhammad Ko Rulaya Jaye.
Aao :ZEESHAN:-o-:FAHEEM: Aaj Yeh Noha Parh Ke.
Fatima Zahra Ke Dushman Pe Tabarah Kar Ke.
Farz Bibi Ki Ghulami Ka Nibhaya Jaye.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwaan: :Faheem Ali:
#AyyamEFatimiya
#NohayLyrics
#tajpoint