Kazim Kay Pak Janazay Ko Sonu Monu Lyrics In Urdu
کاظمؑ کے پاک جنازے کو زنجیرِ ستم پہنائی ہے
Kazim Ke Pak Janazay Ko Zanjeer-e-Sitam Pehnai Hai.
Yeh Kaisa Sitam Hai Zalim Ne Maiyyat Pul Pe Rakhwai Hai.
Yeh Kaisa Bekas Qaidi Hai Marne Pe Bhi Jo Aazad Nahi.
Lashay Pe Baqiya Se Haye Ik Bibi Roney Aayi Hai.
Yeh Chodah Saal Se Qaidi Tha Our Aaj Bhi Haye Qaidi Hai.
Mazloom Ke Lashay Pe Ab Tak Faryad Kuna Tanhai Hai.
Taboot Ko Mere Maula Ke Mazdoor Utha Kar Latay Hain.
Mazloom Ki Lash Uthane Ko Na Beta Hai Na Bhai Hai.
Tan Ki Zanjeerein Maula Ki Ghurbat Pe Noha Karti Hain.
Our Khak Ne Urr Kar Kazim Ke Lashay Ko Rida Pehnai Hai.
Woh Tauq-e-Gala Ka Aik Nishaan Gardan Pe Abhi Tak Baqi Hai.
Maula Ne Mere Iss Tarha Se Rasam-e-Sajjad Nibhai Hai.
Haq Baat :RAZA: Tum Likh Dena Keh Dena :AMANAT: Our :ABBAS:.
Zahra Ke Bachoon Se Ab Tak Ummat Na Wafa Kar Payi Hai.
Poet: :Raza Shah:
Noha Khuwan: :Sonu Monu:
Noha Volume: :Sonu Monu 2019-20:
Soz: :Raza Shah:
#KazimKayPakJanazayKo
#NohayLyrics
#tajpoint