Karbala Ka Aaya Manzar Fatima Ke Samne Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کربلا کا آیا منظر فاطمہؑ کے سامنے
Fatima Ka Jab Jala Ghar Fatima Ke Samne.
Hai Rulaya Fatima Ko Bhool Kar Shan-e-Ali.
Pakra Hai Na Pak Hathoon Ne Gireban-e-Ali.
Ki Gayi Tauheen-e-Haider Fatima Ke Samne.
Chomi Gardan Mil Ke Maa Our Baap Ne Shabeer Ki.
Zahra Ne Chomi Kalai Zainab-e-Dilgeer Ki.
Chomi Jab Haider Ne Chadar Fatima Ke Samne.
Hoon Gi Shabar Ke Jigar Our Qasim-e-Dilgeer Ke.
Jis Tarha Ummat Ke Hathoon Baba Ki Tehreer Ke.
Ho Gaye Tukray Bahatar Fatima Ke Samne.
Youn Sakina Par Sitam Dhaein Gaye Tab Aaya Nazar.
Zahra Ne Khaya Tamacha Tu Gira Tha Toot Kar.
Goshwarah Jab Zameen Par Fatima Ke Samne.
Gardan-e-Shabeer Par Zahra Ne Gardan Jab Rakhi.
Karbala Mein Haye Mohsin Keh Ke Zahra Ro Pari.
Jab Chala Betay Pe Khanjar Fatima Ke Samne.
Kis Ko Seene Se Lagaon Ro Ke Laila Ne Kaha.
Samne Zainab Ke Hai Shabeer Ka Lasha Para.
Our Hai Ban Mein Lash-e-Akbar Fatima Ke Samne.
Hath Pehlu Par Rakhay Main Sath Tere Jaon Gi.
Sham Mein Logon Se Zainab Mein Bhi Pathar Khaon Gi.
Jab Tumhein Marein Gaye Pathar Fatima Ke Samne.
Dein Ki Khatir Seh Gayi Zainab Ko Jab Aaya Nazar.
Maa Ka Jane Haal Kiya Hota :ASAD: Aata Agar.
Naizay Pe Shabeer Ka Sar Fatima Ke Samne.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Master Syed Muhammad
Shah:
Shah:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#AyyamEFatimiya
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com