Baba Teri Zahra Ko Satatay Hain Musalmaan Lyrics In Urdu 2020
Baba Teri Zahra Ko Satatay Hain Musalmaan.
Jalta Howa Dar Mujh Pe Giratay Hain Musalmaan.
Sab Bhool Chukay Hain Yeh Khilafat Ke Nashay Mein.
Bandhi Hai Rasan Haider-e-Safdar Ke Galay Mein.
Galiyon Mein Madine Ki Phiratay Hain Musalmaan.
Har Roz Musibat Hai Nayi Totti Hum Par.
Ashor Ka Manzar Tu Kabhi Sham Ka Manzar.
Zahra Ko Madine Mein Dikhatay Hain Musalmaan.
Pehlu Mera Zakhmi Hai Tu Hathoon Pe Waram Hai.
Gham Mujh Ko Fidak Ka Nahi Iss Baat Ka Gham Hai.
Rutba Teri Beti Ka Bhulatay Hain Musalmaan.
Khali Mujhe Lautaya Haya Tak Nahi Aayi.
Jhutlai Hai Masoom Gawahon Ki Gawahi.
Youn Qarz Meri Maa Ka Chukatay Hain Musalmaan.
Jis Dar Pe Simat Jate Hain Jibreel Ke Sheh Par.
Dastak Ke Bana Aap Bhi Aaye Nahi Jis Ghar.
Be Azn Ossi Mein Chaley Aate Hain Musalmaan.
Durray Ki Aziyat Se Aziyat Yeh Bari Hai.
Zahra Kayi Ghanton Se Sand Le Ke Khari Hai.
Haq Detey Nahi Hath Uthatay Hain Musalmaan.
Raat Aisi Koi Aisa Koi Din Nahi Aaya.
Pehlu Se Ho Zahra Ne Keh Jab Hath Hataya.
Zakhm Iss Pe Niya Roz Lagatay Hain Musalmaan.
Wajib Hai Yeh Har Haal Mein :MUHSIN: Ke Qalam Pe.
Pamali-e-Mohsin Ke Musayab Nahi Bholay.
Ab Tak Jisay Lab Par Nahi Latay Hain Musalmaan.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Syed Sajjad Naqvi:
Composition: :Muhsin Jaffri:
#AyyamEFatimiya
#BabaTeriZahraKo
#NohayLyrics
#tajpoint