Yeh Baqaiya Ke Andheron Se Sada Aati Hai Lyrics In Urdu 2020
Yeh Baqaiya Ke Andheron Se Sada Aati Hai.
Kitne Barson Se Meri Qabar Hai Vernay Mein.
Dair Kitni Hai Mere Lal Tumhein Aane Mein.
Yeh Baqiya Ke Andheron Se Sada Aati Hai.
Meri Turbat Pe Diya Aa Ke Jala Do Mehdi.
Aaj Tak Bhi Hai Sawali Mere Mohsin Ka Lahu.
Jo Bhi Qatil Hain Unhein Sakht Saza Do Mehdi.
Fasila Chand Qadam Ka Bhi Nahi Dono Mein.
Baap Se Beti Ki Turbat Ko Chupaya Do Mehdi.
Ronaqein Karb-o-Bala Ki Yeh Boka Karti Hain.
Qabar-e- Zahra Ko Bhi Tameer Kara Do Mehdi.
Haye Kyun Sholay Bharaktay Hain Dar-e-Zahra Par.
Aag Hasnain Ke Ghar Mein Hai Bhuja Do Mehdi.
Tum Ko Zahra Ki Ghareebi Ki Qasam Detey Hain.
Pardah-e-Ghaibat-e-Kubra Ko Hata Do Mehdi.
Bat Gaye Ahl-e-Wilayat Bhi Kayi Tukron Mein.
Ikhtilafaat Ki Dewar Gira Do Mehdi.
Khon Se Surkh Zameenein Hain Musalmano Ki.
Zulm Hai Charon Taraf Aa Ke Mita Do Mehdi.
Koi Deta Hai Madine Se Sada :ZAIN:-o-:HASAN:.
Meri Beti Ko Ab Insaf Dila Do Mehdi.
Poet: :Zain Jafry:
Noha Khuwan: :Hassan Raza:
Composition: :Own Rizvi:
#AyyamEFatimiya
#NohayLyrics
#tajpoint