Dar-e-Abbas Par Asad Ali Asad Lyrics In Urdu and Roman Urdu
درِ عباسؑ پر
Kya Haseen Hai Jashan Ka Manzar Dar-e-Abbas Par.
Khud Najaf Se Aaye Hain Haider Dar-e-Abbas Par.
Ismat-e-Abbas Ki Azmat Bataney Ke Liye.
Aaj Hai Zahra Ka Sara Ghar Dar-e-Abbas Par.
Ain Mumkin Hai Saloni Ki Sada Aane Lagay.
Rakh Diya Jaye Agar Minber Dar-e-Abbas Par.
Hath Kat Jaein Gaye Unn Ke Iss Liye Aate Nahi.
Matam-e-Shabeer Ke Munkir Dar-e-Abbas Par.
Lanatein Abbas Ki Ismat Ka Munkir Dekh Kar.
Kehti Hain Phir Aa Gaya Kafir Dar-e-Abbas Par.
Ikhteyar-e-Hazrat-e-Ghazi Ishara Gar Karey.
Aaye Ga Kaba Abhi Chal Kar Dar-e-Abbas Par.
Khoob Phir Dono Ne Ki Abbas Ki Madah-o-Sana.
Mil Gaye Buzar Ko Jab Qanbar Dar-e-Abbas Par.
Dekh Kar Romal-e-Zahra Hur Se Zohrah Ne Kaha.
Mujh Se Bhi Aounchay Ho Tum Jhuk Kar Dar-e-Abbas Par.
Jhoom Kar Suntay Hain Haider Marka Siffeen Ka.
Parhtay Hain Jab Malik-e-Ashtar Dar-e-Abbas Par.
Sorah-e-Kausar Ka Pehra Hai :ASAD: Charon Taraf.
Aa Nahi Sakta Koi Abtar Dar-e-Abbas Par.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Muzammil Abbas Zaidi:
Manqabat Volume: :Muzammil Abbas Zaidi
2020-21:
2020-21:
Composition: :Zaheer Abbas Multan:
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com