Ghazi Ki Sana 1-6 Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2020
Ghazi Ki Sana 1-6 Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir
Suno Shabeer Se Ghazi Ki Sana.
Sarwar Ke Alamdar.
Zainab Ke Wafadar.
Ya Sani-e-Karrar.
Sardaron Ke Sardar.
Woh Bataein Gaye Humein Kiya Hai Wilaye Abbas.
Aao Shabeer Se Suntay Hain Sana-e-Abbas.
Sorah-e-Qadar Ke Parday Mein Pala Hai Abbas.
Sorah-e-Hamd Ki Godi Mein Raha Hai Abbas.
Aal-e-Imran Ke Aangan Mein Chala Hai Abbas.
Dil-e-Yaseen Dharakne Ki Sada Hai Abbas.
Be Ke Nuktay Se Jo Wal Naas Talak Jaye Ga.
Sare Quran Mein Abbas Nazar Aaye Ga.
Jis Ko Aandhi Kahey Tofaan Woh Mera Ghazi Hai.
Jis Ke Khadam Hain Sulemaan Woh Mera Ghazi Hai.
Maut Hai Jis Se Pareshaan Woh Mera Ghazi Hai.
Jis Mein Shabeer Ki Hai Jaan Woh Mera Ghazi Hai.
Iss Ki Azmat Ki Tu Zainab Ne Qasam Khayi Hai.
Fatima Zahra Ka Beta Hai Mera Bhai Hai.
Apne Pehlu Mein Hamesha Se Bithaya Main Ne.
Mujh Ko Zahra Ne Issay Jhola Jholaya Main Ne.
Farz Nana Ki Tarha Apna Nibhaya Main Ne.
Iss Ko Kandhoon Pe Kayi Bar Bithaya Main Ne.
Sab Yeh Kehte Hain Samaa Khoob Bana Rakha Hai.
Dekh Lo Chand Ne Soraj Ko Utha Rakha Hai.
Apne Mabood Ki Masoom Gawahi Abbas.
Chalti Phirti Hoi Shamsheer-e-Elahi Abbas.
Dushman-e-Aal-e-Muhammad Ki Tabahi Abbas.
Lashkar-e-Fatima Zahra Ka Sipahi Abbas.
Kufar Ko Ishq Ka Kaba Nahi Dhaney De Ga.
Yeh Wilayat Pe Koi Aanch Na Aane De Ga.
Iss Ki Har Aik Sift Hai Mere Baba Jaisi.
Woh Sakhi Yeh Bhi Sakhi Woh Bhi Wali Yeh Bhi Wali.
Farq ALLAH Ne Hum Dono Mein Rakha Hai Yehi.
Main Muhammad Ka Muhammad Yeh Ali Ka Hai Ali.
Karbala Mein Shab-e-Hijrat Ka Jo Manzar Hota.
Mere Bistar Pe Bhi Abbas-e-Dilawar Sota.
Masla Iss Ke Liye Sirf Meri Chah Ka Hai.
Foaj Ki Fikar Na Khatrah Issay Jangah Ka Hai.
Ghaat Par Pehra Agar Lashkar-e-Robah Ka Hai.
Zoor Ghazi Ki Kalai Mein Yadullah Ka Hai.
Sirf Naizay Se Agar Hath Mila Le Abbas.
Nehar Kiya Cheez Hai Soraj Ko Utha Le Abbas.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2020-21:
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Mola Ghazi Abbas New Manqabat Ghazi Ki Sana 1-6 Lyrics In Urdu