Dar e Abbas Par Lyrics In Urdu 2020
Dar e Abbas Par Lyrics In Urdu Write Up
Noor-e-Abbas Se Roshan Hai Charag-e-Haider.
Aik Jaisa Hai Hasab Our Nasab Ka Soraj.
Hum Ne Har Saal Ubhartay Hoye Dekha :AKBAR:.
Chaar Shaban Ke Din Terah Rajab Ka Soraj.
Chahe Aaye Jis Qadar Dunya Dar-e-Abbas Par.
Kam Nahi Shabeer Ka Sadqa Dar-e-Abbas Par.
Aate Hain Khud Youm-e-Ashora Dar-e-Abbas Par.
Ibn-e-Zahra Keh Ke Ya Zahra Dar-e-Abbas Par.
Fazal-e-Rabi Our Abu Al-Fazal Mein Yeh Rabt Hai.
Fazal Banta Jata Hai Rab Ka Dar-e-Abbas Par.
Mangna Hai Izn Mujhko Hazari Se Paishter.
Parh Raha Hoon Inna Ataina Dar-e-Abbas Par.
Mujh Ko Kabay Se Sada Aayi Mujhe Manzoor Hai.
Jab Kiya Mein Ne Ada Sajdah Dar-e-Abbas Par.
Khaima-e-Zainab Ke Pehrey Par Udhar Abbas Tha.
Our Idhar Akbar Ka Tha Pehra Dar-e-Abbas Par.
Yeh Jo Mashkeza Alam Ke Sath Hai Samjho Hai Dar.
Ik Dar-e-Abbas Ke Jaisa Dar-e-Abbas Par.
Tashna Lab Saqay Ki Turbat Hai Sabeelon Ki Sabeel.
Pani Bharne Aata Hai Darya Dar-e-Abbas Par.
Parh Chuka Jab Sorah-e-Toba Dar-e-Shabeer Pe.
Hur Ne Phir Pehla Qadam Rakha Dar-e-Abbas Par.
Aik Hi Jalway Ki Khuwaish Mein Safar Kartay Hoye.
Toor Par Mosa Gaye Banda Dar-e-Abbas Par.
Kis Qadar Akseer Hai Tameer-e-Janat Ke Liye.
Khak Ho Jati Hai Jo Yakja Dar-e-Abbas Par.
Ab Bhi Hai Mairaj Ka Manzar Nazar Ke Robaro.
Go Nahi :AKBAR: Koi Pardah Dar-e-Abbas Par.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Wajhi Hasan Zaidi 2020-21:
Composition: :Rajab Ali Khan:
#ManqabatLyrics
#tajpoint