Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi Page 1 Lyrics 2020
Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi Page 1 Write Up
Ya Shah-e-Auliya Waris-e-Mustafa Ya Ali Murtaza Ya Ali Elia.
Koi Nayi Ali Jiya Koi Nayi Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi.
Saqi-e-Kausar Shafa-e-Mehshar Koi Nahi Hai Tere Barabar.
Terah 13 Rajab Ko Ab Bhi Kaba Hans Kar Kehta Hai.
Main Woh Sadaf Hoon Arsh Ka Gohar Jis Mein Rehta Hai.
Mera Qibla Mera Kaba Mera Malik Mera Aaqa.
Dar Par Apne Tara Bulaya Soraj Paltaya.
Faqay Kar Ke Rizq Jahan Ko Oss Ne Pohanchaya.
Parh Kar Yeh Haider Ka Qaseeda Kehti Hain Khuda Fatima Zahra.
Khum Mein Nabi Ne Yeh Farmaya Haider Haider Kar.
Bach Ja Momin Parh Le Kalma Haider Haider Kar.
Jo Bhi Kar Le Qabar Se Bahir Ho Ga Teri Qabar Ke Andar.
Pani Aap Darakht Nu La Ke Kita Si Teyar.
Ishq-e-Ali Di Meesum Keeti Fair Jari Guftar.
Jini Wari Khanjar Chaliya Onni Wari Meesum Dasiya.
Qaid Nahi Hai Iss Mein Koi Shia Suni Ki.
Wajib Hai Har Ik Pe Muhabbat Mere Bhai Ki.
Maan Ke Sab Yeh Qaul-e-Payamber Dil Se Pukaro Haider Haider.
Koi Nayi Koi Nayi Koi Nayi Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi.
Azal Se Aik Hi Manzar Hai Meri Aankhon Mein.
Main Kaisay Khana-e-Kaba Kissi Taraf Dekhon.
Tu Khud Bhi Ishq Ki Majboriyaan Samjhta Hai.
Najaf Se Aankh Hatay Tu Teri Taraf Dekhon.
Shah-e-Wilayat Shams-e-Imamat Qasim-e-Janat Kun Ki Haqeeqat.
Koi Nayi Koi Nayi Koi Nayi Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi.
Shams, Bhittai, Sachal, Bahu, Khawaja, Ajmeri,.
Maula Tere Naam Ki Mala Japtay Hain Sab Hi.
Kar Ke Dhamalein Wajad Mein Aa Kar Kehta Hai Yeh Lal Qalandar.
Dama Dam Mast Qalandar Hussaini Lal Qalandar Ali Da Pehla Number.
Poet: :Mirza Asadullah Khan Ghalib:
Poet: :Mohsin Naqvi Shaheed:
Poet: :Hasnain Akbar:
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2020-21:
Composition: :Raza Shah:
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Mir Hasan Mir Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi page 1