Kazim Ki Musibat Pe Youn Taqdeer Roye Gi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کاظمؑ کی مصیبت پہ یوں تقدیر روئے گی
Zindan-e- Sitam Roye Ga Zanjeer Roye Gi.
Ik Our Gham Yeh Lag Gaya Zahra Ke Chaman Ko.
Zanjeer-e- Sitam Kha Gayi Kazim Ke Badan Ko.
Ta Hashar Qaid Khane Ki Tafseer Roye Gi.
Yeh Konsi Mastoor Hai Turbat Se Nikal Kar.
Faryad -o- Boka Karti Hai Baghdad Ke Pul Par.
Ik Be Watan Pe Chadar-e- Tatheer Roye Gi.
Kazim Ki Ghareebi Pe Duhai Hai Duhai.
Jis Ko Na Mili Qaid Se Mar Kar Bhi Rehai.
Iss Bekasi Pe Dukhtar-e- Shabeer Roye Gi.
Yeh Kis Ka Janaza Hai Sabhi Khak Basar Hain.
Kazim Hai Inn Ka Naam Yeh Zahra Ke Pisar Hain.
Hai Sabz Jism Zehar Ki Taseer Roye Gi.
Baba Ke Baad Sab Ke Musayab Azeem Hain.
Maula Raza Ne Keh Diya Ab Hum Yateem Hain.
Masoma Fatima Ki Hai Tasveer Roye Gi.
Zindaan Mein Sham -o- Kofa Ka Aata Raha Khiyal.
Nam-e- Hussain Roye Kiya Zikar-e- Zuljalal.
Ghurbat Pe Seena Peet Ke Takbeer Roye Gi.
Ro Kar Ali Mehdi Ne Nohay Ko Jab Parha.
:ZAHRA: Ko Yaad Maula Ka Zindan Aa Gaya.
Noha Kuna Qalam Hai Tu Tehreer Roye Gi.
Poet: :Urooj Zahra Zaidi:
Noha Khuwaan: :Syed Ali Mehdi:
Noha Khuwaan: :Syed Murtaza Mehdi:
Noha Volume: :Syed Ali Mehdi 2019-20:
Composition: :Asad Agah:
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com