Manzar Barey Barey Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Manzar Barey Barey Lyrics In Urdu and Roman Urdu

منظر بڑے بڑے

Shaban Mein Hain Jashan Ke Manzar Barey Barey.
Utray Hain Aasmaan Se Zameen Par Barey Barey.
Pehli Ko Jashan-e-Aamad-e-Zainab Manatay Hain.
Tohfay Mein De Ke Beti Ko Chadar Barey Barey.
Itni Bulandiyaan Ossay Romal Se Milein.
Kartay Hain Rashk Hur Pe Payamber Barey Barey.
Taqseem Chotay Chotay Se Tukron Mein Ho Gaye.
Qasim Ko Jo Dikhatay They Tewar Barey Barey.
Baiyat Ka Sar Kyun Aoun-o-Muhammad Na Kattay.
Chotay They Par Uthaye They Khanjar Barey Barey.
Nabiyon Se Barh Ke Lagtay They Ashor Walay Din.
Rutbay Mein Karbala Ke Bahatar Barey Barey.
Nook-e-Sina Hai Daar Hai Ik Zair-e-Taig Hai.
Madh-e-Ali Ke Kitne Hain Minber Barey Barey.
Kehti Thi Fizza Itna Na Salman Fakhar Kar.
Dast-e-Khuda Hain Mere Bhi Sar Par Barey Barey.
Hans Hans Ke Sanp Sab Ko Bataye Ga Hashar Mein.
Roye They Kaisay Gar Ke Andar Barey Barey.
Yeh Sab Karam Hai Meesum-e-Tammar Ka :ASAD:.
Jo Mantay Hain Tujh Ko Sukhnwar Barey Barey.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Master Syed Muhammad Shah:
Manqabat Volume: :Master Syed Muhammad Shah 2020-21:
Compostion: :Sayyed Zaire Naqvi:
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
Visit TAJPOINT :: Official Website :

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!