Jab Ghir Gaye Kufe Me Muslim Ke Dulare Ali Mohammad Sultanpuri Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جب گِھر گئے کوفے مِیں مُسلمؑ کے دُلارے
Pardais Mein Tanha They Taqdeer Ke Marey.
Dono Bachoon Ka Wahan Koi Madadgar Na Tha.
Sirf Tanhai Thi Yawar Na They Ghamkhuwar Na Tha.
Woh Bhataktay Rahe Dar Dar Koi Dildar Na Tha.
Koi Dono Ki Madad Karne Ko Teyar Na Tha.
Thak Kar Ke Jo Girta Tha Kabhi Chota Baradar.
Chalta Tha Bara Bhai Ossay Gaud Mein Le Kar.
Chotay Bhai Ne Barey Bhai Se Ro Kar Pocha.
Bhaiyya Itna Tu Bata Do Keh Kahan Hain Baba.
Hum Musafir Hain Yahan Koi Nahi Hai Apna.
Hum Ko Pardais Mein Ab Kaun Sahara De Ga.
Har Simt Andhera Hai Kahan Jaein Gay Bhai.
Lagta Hai Humein Baba Na Mil Paein Gay Bhai.
Raat Kali Thi Andherey Mein Woh Dono Bachay.
Sehmey Sehmey Hoye Aik Pair Pe Chup Kar Baithay.
Raat Bhar Liptay They Aapas Mein Woh Gham Ke Marey.
Siskiyaan Letey They Our Rotay They Chupkay Chupkay.
Aahat Jo Koi Hoti Thi Ghabratay They Dono.
Patay Bhi Kharaktay They Tu Dar Jate They Dono.
Ik Kaneez Aayi Subha Oss Ko Tha Pani Bharna.
Oss Ne Masoomo Ka Pani Mein Jo Dekha Chehra.
Dono Bachoon Se Yeh Ghabra Ke Ossi Dam Pocha.
Kaun Ho Aaye Kahan Se Ho Bata Do Itna.
Dono Ne Kaha Zakhm Bohat Khaye Hain BiBi.
Hum Loag Madine Se Yahan Aaye Hain BiBi.
Naam Yasrab Ka Suna Jab Tu Woh Tarpi Ik Bar.
Le Ke Bachoon Ko Chali Ghar Ki Taraf Woh Dildar.
Ja Ke Malikan Se Bataney Lagi Sab Hal-e-Zaar.
Momina Ne Kiya Shehzadon Ko Ro Ro Kar Pyar.
Kehne Lagi Darna Na Meri Jan Ho Dono.
Aaqa Ke Dularo Mere Mehman Ho Dono.
Mutmain Ho Gaye Jis Waqt Ki Woh Mah-e-Laqa.
Le Gayi Bachoon Ko Hujray Mein Kaneez-e-Zahra.
Khana Pani Jo Diya Bachoon Ka Dil Bhar Aaya.
Samne Nazron Ke Maa Baap Ka Chehra Aaya.
Baba Ke Liye Mehway Boka Ho Gaye Dono.
Bin Khaye Piye Rotay Hoye So Gaye Dono.
Haye Muslim Ke Pisar Chand Sitarey Dono.
Khuwab Se Chonk Ke Uthay Jo Dularay Dono.
Aahein Bharne Lagay Hujray Mein Woh Pyaray Dono.
Roye Be Sakhta Taqdeer Ke Marey Dono.
Roney Ki Sada Sun Ke Utha Haris e Maloon.
Khanjar Liye Hujray Mein Gaya Haris e Maloon.
Dekha Haris Ko Tu Masoom Bohat Ghabraye.
Zulfein Zalim Ne Jo Pakri Tu Jigar Tharaye.
Le Chala Khainchta Masoomo Ko Zalim Haye.
Momina Ne Kaha Haris Tujhe Maut Aa Jaye.
Masoom Hain Pardesi Hain Inn Par Na Sitam Kar.
Haider Ke Gul-e-Tar Hain Yeh Zahra Ke Gul-e-Tar.
Kitna Maloon Tha Haris Ko Taras Na Aaya.
Momina Ki Na Suni Aik Ossay Qatal Kiya.
Baal Bachoon Ke Pakar Kar Woh Sitamgar Nikla.
Bachay Kehte They Humein Mar Ke Kya Paye Ga.
Dirham Tujhe Dilwaein Gay Jitna Tu Bata De.
Le Chal Ke Madine Humein Amma Se Mila De.
Le Ke Maloon Yateemo Ko Nehar Pe Pohancha.
Taig Masoomo Ko Dikhla Ke Woh Zalim Bola.
Tum Hi Batlao Gala Katon Main Pehle Kis Ka.
Chotay Bhai Ne Gala Apna Barha Kar Yeh Kaha.
Main Deta Hoon Sar Taig Idhar Moor De Haris.
Bas Mere Barey Bhai Ko Ab Chor De Haris.
Phir Barey Bhai Ne Chotay Ko Hataya Barh Kar.
Rakh Diya Apna Gala Taig Ke Neechay Ja Kar.
Bola Haris Se Keh Ahsan Yeh Karna Mujh Par.
Mere Bhai Ko Dikha Kar Na Chalana Khanjar.
Maloon Tha Be Deen Tha Woh Dushman-e-Haider.
Sar Kata Barey Bhai Ka Chotay Ko Dikha Kar.
Chotay Bhai Ne Lahu Bhai Dekha Jis Dam.
Laut Kar Khon Mein Bhai Keh Woh Tarpa Pur Gham.
Dekh Kar Soye Nehar Kehta Tha Keh Haye Matam.
Bhai Thehro Ke Zara Dair Mein Aate Hain Hum.
Yeh Dekh Ke Maloon Ne Talwar Chalai.
Our Ho Gayi Bekas Ke Sar-o-Tan Mein Judai.
Sar Ko Jab Kaat Chuka Tan Ko Nehar Mein Dala.
Chotay Bhai Ki Taraf Bhai Ka Lasha Aaya.
Haye Shehzadon Ka Aapas Mein Jo Lipta Lasha.
Dono Mazlomo Ki Mazlomi Pe Roya Darya.
:WAIZ: Jo Sitam Dono Yateemo Pe Howa Hai.
Oss Zulm Ko Likh Kar Ke Qalam Kanp Raha Hai.
Poet: :Syed Waiz Hasan Sultanpuri:
Noha Khuwan: :Ali Mohammad Sultanpuri:
Noha Volume: :Ali Mohammad Sultanpuri 2019-20:
#MuslimKeDulare
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com