Hasnain Ke Baba Par Lyrics In Urdu Joan Rizvi 2020
Hasnain Ke Baba Par Lyrics In Urdu
Hasnain Ke Baba Par Kya Waqt Yeh Aaya Hai.
Jari Hai Lahu Sar Se Tar Khon Musalla Hai.
Dekha Hi Nahi Sabir Dunya Ne Ali Jaisa.
Phir Iss Ko Rulata Hai Kyun Zakhm Yeh Zarbat Ka.
Kiya Yaad Mein Haider Ki Pehlu-e- Shikasta Hai.
Thi Samne Zojah Ke Gardan Mein Bandhi Rasi.
Ab Samne Beti Ke Zakhmi Hai Tera Sar Bhi.
Woh Shehar-e- Madina Tha Afsoos Yeh Kofa Hai.
Tareekh Ne Ik Yeh Bhi Manzar Hai Ajab Dekha.
Qatil Ko Bhi Woh Jis Ne Rehne Na Diya Pyasa.
Karbal Mein Ossi Ka Ghar Seh Roz Ka Pyasa Hai.
Beton Se Jo Kehta Tha Tum Sabar Nahi Khona.
Woh Baap Jo Kehta Tha Shabeer Nahi Rona.
Jab Betiyaan Aaein Tu Woh Baap Bhi Roya Hai.
Beton Ki Taraf Dekha Our Kehne Lagay Haider.
Yeh Haal Jo Dekha Tu Mar Jaye Gi Ro Ro Kar.
Zainab Ki Nigahon Se Yeh Zakhm Chupana Hai.
Muljim Ke Pisar Tu Ne Kaisa Yeh Sitam Dhaya.
Tu Kaisa Musalmaan Hai Itna Bhi Nahi Socha.
Chehra Yeh Khuda Ka Hai Jo Khon Mein Doba Hai.
Kofay Ke Yateemo Ki Karta Tha Kafalat Jo.
Ab Chor Ke Jata Hai Woh Apne Hi Bachoon Ko.
Iss Baat Ne Zahra Ko Turbat Mein Rulaya Hai.
Maula Ki Shahadat Hum :ZEESHAN: Manaein Gaye.
Aye :JAUN: Zamane Ko Yeh Baat Bataein Gaye.
Jo Farz Hamara Tha Woh Woh Hum Ne Nibhaya Hai.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Joan Rizvi:
Composition: :Ghulam Abbas Khan Monu:
New Noha 21 Ramzan 2020 1441 Hijri Shahdat Imam Ali(AS)
#HasnainKeBabaPar
#NohayLyrics
#tajpoint