Inki Lahad Bana Day Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Inki Lahad Bana Day Lyrics In Urdu and Roman Urdu

 اِن کی لحد بنا دے

Jab Qatal Ho Chukay Woh Ruqaiya Ke Ladlay.
Dono Ke Sar Laeen Ne Tan Se Juda Kiye.
Darya Mein Oss Ne Pyason Ke Lashay Baha Diye.
Meelon Talak Woh Mojon Pe Mehway Safar Rahe.
Mojon Ke Lab Pe Noha Tha Ik Shoor-o-Shain Tha.
Darya Kinaray Yeh Kissi BiBi Ka Bain Tha.
Ahsan Kar Musiyab Zahra Ki Tu Dua Le Inn Ki Lahad Bana De.
Mehman Ban Ke Tere Aaye Hain Dono Lashay Inn Ki Lahad Bana De.
Main Khud Lahad Banati Par Tujh Se Kya Kahon Ab.
Pehlu Se Hath Mera Uthta Nahi Musiyab.
Haider Bhi Muntazir Hain Unn Se Inhein Mila De.
Qaidi They Waqt-e-Aakhir Ab Bhi Aseer Hoon Gaye.
Itna Khiyal Rakhna Lashon Mein Teer Hoon Gaye.
Zalim Ne Inn Ke Lashon Pe Teer Hain Chalaye.
Darbar Le Gaye Hain Sar Inn Ka Kofay Walay.
Iss Wastay Nishaan Hain Chehray Pe Ungliyon Ke.
Haris Ne Raat Bhar Hain Inn Ko Tamachay Marey.
Din Eid Ke Hi Inn Ka Baba Gaya Hai Mara.
Dono Ne Ik Baras Hai Zindan Mein Guzara.
Kab Itni Zindagi Hai Jitnay Sitam Uthaye.
Aankhon Se Lag Raha Hai Jagay Hain Jaisay Barson.
Bichrey Hain Maa Se Jab Se Soye Nahi Hain Dono.
Dono Thakay Hoye Hain Tu Ab Inhein Sula De.
Mehmaan Bana Ke Inn Ko Ummat Ne Hai Sataya.
Zainab Ki Tarha Inn Ko Kofa Na Raas Aaya.
Dono Yateem Ho Kar Soye Jinna Sidharay.
Dil Tere Iss Amal Se Khush Ho Ga Mustafa Ka.
Nasir Hai Tu Ali Ka Nasir Hai Fatima Ka.
Hum Sab Ke Sab Hain Zamin Mehshar Mein Bhi Tumharey.
:MUHSIN: Pukari Zahra Ho Ga Yahan Pe Giriya.
Ta Hashar Ab Rahe Ga Aabad Tera Qiriya.
Tu Mere Ladloon Ko Iss Khak Mein Chupa De.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Master Syed Mohammad Shah:
Composition: :Muhsin Jaffri:
Shahadat Tiflane Muslim bin Aqeel Noha 2020 1441 Hijri
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!