Faqat Ali Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
فقط علیؑ ہے
Ameer Aisa Ke Jis Pe Ghurbat Ki Inteha Hai Faqat Ali Hai.
Woh Jis Mein Qatal-e- Batool Sehney Ka Hosla Hai Faqat Ali Hai.
Beghair Roye Woh Apni Dehleez Our Dar Se Nahi Guzarta.
Jo Qatal Gah-e-Batool Har Roz Dekhta Hai Faqat Ali Hai.
Sadaein Kofay Mein De Raha Hai Ali Se Badlay Abhi Chuka Lo.
Tumhari Mujrim Nahi Hai Zainab Tumhein Pata Hai Faqat Ali Hai.
Hai Banta Iss Ko Ghareeb Kehna Keh Iss Ki Beti Hai Sar Barehna.
Woh Jis Ke Betay Ko Pathron Ka Kafan Mila Hai Faqat Ali Hai.
Issay Khabar Hai Keh Zindagi Bhar Mana Sakay Gi Na Eid Zainab.
Jo Neend Se Phir Bhi Apna Qatil Jaga Raha Hai Faqat Ali Hai.
Yeh Zarb-e-Muljim Ne Kiya Kya Hai Keh Khon Chehray Pe Beh Raha Hai.
Woh Jis Ke Chehray Pe Oss Ka Noha Likha Howa Hai Faqat Ali Hai.
Na Dekhey Baba Ki Woh Aseeri Na Yaad Zainab Ko Sham Aaye.
Jo Dagh Rasi Ke Betiyon Se Chupa Raha Hai Faqat Ali Hai.
Yeh Raaz Be Shak Hai Raaz :MUHSIN: Magar Hai Ghurbat Ka Ik Hawala.
Janaza Apna Jo Khud Lehad Mein Utarta Hai Faqat Ali Hai.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Master Syed Mohammad
Shah:
Shah:
Composition: :Muhsin Jaffri:
New Noha 21 Ramzan 2020 1441 Hijri Shahdat Imam Ali(AS)
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com