Momino Yeh Hai Janaza Abid-e-Beemar Ka Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مومنوں یہ ہے جنازہ عابدِؑ بیمار کا
Jo Kabhi Bhola Na Manzar Sham Ke Bazar Ka.
Dhop Thi Our Pyas Thi Our Taziyana Tha Giza.
Khoon Bhi Jari Jism Se Tha Shah Ke Dildar Ka.
Di Sada Zainab Ne Baba Ko Laeeno Ne Keh Jab.
Pusht Se Khaincha Tha Bistar Abid-e- Beemar Ka.
Maa Phophi Behnein Khari Thin Be Rida Bazar Mein.
Tha Ajab Yeh Imtehaan Oss Qafila Salar Ka.
Bar Sar-e-Mehfil Taruf Bibiyon Ka Jab Howa.
Sharam Se Sar Jhuk Gaya Oss Bekas-o-La Char Ka.
Kuch Nahi Parwah Sataish Ki Baroz-e-Hashar Hi.
Dein Gay Maula Khud Sila Mujh Ko Mere Ashar Ka.
Ab Dua Yeh Hai :SHAJEEHA: Ki Imam-e-Asar Se.
Silsila Jari Rahe Afkar Ke Izhar Ka.
Poet: :Zoja Ustad Sibt-e-Jafar Shaheed:
Noha Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Noha Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2020-21:
Composition: :Abuzar Zaidi:
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com