Bazaar Aa Raha Hai Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020

Bazaar Aa Raha Hai Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020

Bazaar Aa Raha Hai Lyrics In Urdu Shahid Baltistani

Beemar Mar Na Jaye Bazar Aa Raha Hai.
Ummat Hijab Mein Hai Syedani Be Rida Hai.

Sajjad Ke Badan Ka Har Zakhm Ro Raha Hai.
Kofay Ki Shehzadi Kofay Mein Be Rida Hai.
Sadaat-e-Fatima Par Kya Waqt Aa Gaya Hai.

Zahra Ki Betiyon Ke Cheeney Gaye Hain Parday.
Ab Chadron Ke Badlay Koi Kafan Urha De.
Abid Janazay Le Kar Bazar Mein Khara Hai.

Hathoon Mein Sham Walay Pathar Liye Hoye Hain.
Ik Jashan Ka Samaa Hai Roshan Diye Hoye Hain.
Dil Bhujhtay Ja Rahe Hain Yeh Sham Ki Howa Hai.

Bardasht Iss Sitam Ko Koi Karey Ga Kaisay.
Betay Ke Aagay Khaye Ik Baap Taziyane.
Baqir Ka Imtehaan Tu Sajjad Se Bara Hai.

Jari Lahu Hai Sar Se Kya Waqt-e-Bekasi Hai.
Naizay Pe Sheh Ke Sar Ko Hasrat Se Dekhti Hai.
Zainab Ko Rastay Mein Pathar Jahan Laga Hai.

Maqtal Mein Terah Zarbain Shabeer Par Chali Hain.
Na Mehramo Ki Nazrein Zainab Pe Par Rahi Hain.
Charon Taraf Se Khanjar Bibi Pe Chal Raha Hai.

Yeh Qafila Haram Ka Zindaan Tak Aa Gaya Hai.
Soraj Yeh Badilon Mein Chup Chup Ke Pochta Hai.
Be Jurm Qaidiyon Ko Saya Kahan Mila Hai.

Shabeer Ki Sakina Bazar Se Hai Guzri.
Itnay Lagay Hain Pathar Pehlu Howa Hai Zakhmi.
Pehchanna Hai Mushkil Woh Haal Ho Gaya Hai.

Haye Roye Hain Khoon :TAKALLUM: Chalees Saal Maula.
Sansein Bhi Chal Rahi Thin Lekin Nahi They Zindah.
Sajjad Ka Tu Maqtal Darbar Sham Ka Hai.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2020-21:
Composition: :Munawar Ali Khan Nomi:

#NohayLyrics
#tajpoint

Bazaar Aa Raha Hai Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020 Write Up Poster Image

Bazaar Aa Raha Hai Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!