Na Tera Bhai Raha Na Hi Mera Bhai Raha Lyrics 2020
Na Tera Bhai Raha Na Hi Mera Bhai Raha
Jab Suna Sughra Ne Laut Aaya Watan Mein Qafila.
Haye Jab Pohanchin Tu Manzar Dekh Kar Ro Ke Kaha.
Aye Phophi Amma Bhara Ghar Tha Bhaiyon Se Mera.
Kya Howa Karb-o-Bala Mein Kuch Tu Batlaein Zara.
Haye Rotay Hoye Zainab Ne Kaha Aye Sughra.
Na Tera Bhai Raha Na Hi Mera Bhai Raha.
Baap Jeeta Bhi Tu Kis Tarha Se Yeh Gham Seh Ke.
Bhai Ko Pyar Hi Itna Tha Ali Akbar Se.
Jis Ghari Seena-e-Akbar Se Sina Ko Khaincha.
Haye Jis Mashk Mein Asghar Ke Liye Tha Pani.
Haan Ossi Mashk Mein Sansein Thin Mere Ghazi Ki.
Nehar Par Mashk Pe Jab Teer Laga Pani Baha.
Sath Abbas They Akbar They Bari Dharas Thi.
Kis Mein Jurat Thi Nazar Hum Pe Uthata Koi.
Tha Yehi Aik Sabab Hum Jo Hoye Be Pardah.
Kaisay Batlaon Sitam Oss Ne Uthaye Kitne.
Shimar Ne Durray Sakina Ko Lagaye Kitne.
Kha Gaya Sham Ke Zindaan Mein Ossay Yeh Sadma.
Yeh Tu Acha Hi Howa Tum Na Gayi Karb-o-Bala.
Tum Se Dekha Hi Nahi Jata Jo Main Ne Dekha.
Seena Akbar Ka Chida Kat Gaya Sarwar Ka Gala.
Meri Inn Aankhon Ki Thandak Tu Mere Bhai They.
Main Ne Inn Aankhon Se Dekha Hai Unhein Martay Hoye.
Kaisay Zindah Hoon Main Ab Tak Yeh Mujhe Sughra Bata.
Bas Tere Wastay Aayi Hai Madine Zainab.
Warna Maqsad Mere Jeene Ka Nahi Koi Bhi Ab.
Haye Ab Kaun Sahara Hai Mere Jeene Ka.
Fatima Bint-e-Hasan Se Yeh Kaha Kuch Bolo.
Bhaiyya Qasim Bhi Nahi Aate Nazar Kyun Mujh Ko.
Fatima Bint-e-Hasan Kehne Lagin Aye Sughra.
Kaisi Behno Pe Judai Yeh Qayamat Layi.
Sari Behno Ki Sadaon Mein Tha Bhai Bhai.
Sun Ke :ZEESHAN: -o- :RAZA: Roya Madina Sara.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2020-21:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#NaTeraBhaiRaha
#NohayLyrics
#tajpoint