Bibi Qubool Karain Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Bibi Qubool Karain Lyrics In Urdu and Roman Urdu

بی بیؑ قبول کریں 

Bekas Pe Roney Walon Ka Hadiya Qabool Ho.
Ya Fatima Hussain Ka Pursa Qabool Ho.
Saf-e-Gham Bicha Kar Yeh Mangi Dua Bibi Qabool Karein.
Yeh Majlis Yeh Matam Yeh Ashk-e-Azza Bibi Qabool Karein.
Gham-e-Sheh Mein Sab Kuch Lutatay Rahe.
Ghareebi Mein Bhi Gham Manatay Rahe.
Hain Aisay Bhi Tang Dast Ahl-e-Azza.
Tabaruk Mein Pani Pilatay Rahe.
Tabaruk Jo Banta Tu Bas Yeh Kaha.
Bichaya Hai Jab Ghar Mein Farsh-e-Azza.
Sajaya Azza Khana Shabeer Ka.
Alam Nasab Kartay Hoye Meri Maa.
Bahati Thi Aankhon Se Ashk-e-Azza.
Our Oss Ke Labon Par Thi Bas Ik Sada.
Salamat Rahein Pur Magan Matami.
Qama Zan Yeh Zanjeer Zan Matami.
Kabhi Khak Uratay Hain Rotay Hoye.
Yeh Kehte Hain Khoni Badan Matami.
Lahu Ka Yeh Pursa Jo Hum Ne Diya.
Yeh Hai Ishq-e-Shabeer Ki Ik Daleel.
Sajaein Alam Ya Banaein Sabeel.
Sabeelon Pe Likh Kar Sakina Ka Naam.
Aqeedat Ko Kartay Hain Apna Wakeel.
Pilatay Hain Pani Yeh Kar Ke Dua.
Yeh Soz-o-Salam Our Yeh Marsiya.
Yeh Seena Zani Our Aah-o-Boka.
Musayab Ka Izhar Kartay Hoye.
Lutay Ghar Ka Bibi Ko Pursa Diya.
Yeh Jumla Hamesha Labon Par Raha.
Shabeeh-e-Alam Our Taboot Par.
Kabhi Zuljinah Pe Hoye Noha Gar.
Kissi Haal Mein Bhi Hoon Ahl-e-Azza.
Na Rukhney Diya Majlison Ka Safar.
Nahi Kar Sakay Haq-e-Giriya Ada.
Woh Molai Maein Hain Ik Saibaan.
Miley Jin Ki Aagosh Mein Noha Khuwaan.
Jo Bachoon Ko Saqqa Banati Rahein.
Sajay Hoye Bawafa Ka Nishaan.
Yeh Unn Ki Aqeedat Ke Tarz-e-Wafa.
Woh Pur Gham Azadar Woh Matami.
Nahi Ja Sakay Karbala Jo Kabhi.
Bapa Chaar Logon Mein Ki Majlisein.
Imam-e-Zamana Se Faryad Ki.
Yeh Zikar-e-Shehanshah-e-Karb-o-Bala.
Yeh Koshish Hai :MEESUM: Ki :MAZHAR: Kaho.
Koi Aik Noha Tu Aisa Bhi Ho.
Na Ho Jis Mein Shohrat Ki Khuwaish Zara.
Kabhi Aisi Khalis Ibadat Bhi Ho.
Utha Kar Kahin Sab Hi Dast-e-Dua.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2020-21:
Composition: :Raza Shah & Zille Raza Zaidi:
#BibiQuboolKarain
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!