Azadari Rahegi Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
عزاداری رہے گی
Emaan Ki Hararat Hai Azadari-e-Hussain.
Islam Ki Hurmat Hai Azadari-e-Hussain.
Insaan Ki Zarorat Hai Azadari-e-Hussain.
Zainab Ki Amanat Hai Azadari-e-Hussain.
Qadam Barhatay Raho Hussain Hussain.
Alam Uthatay Raho Hussain Hussain.
Charag-e-Ashk-e-Azza Hussain Hussain.
Younhi Jalaye Raho, Younhi Jalaye Raho.
Na Aandhiyon Se Daro.
Na Zalimo Se Daro.
Na Hadisoon Se Daro.
Na Mushkilon Se Daro.
Alam Saja Ke Kaho.
Farsh-e-Gham Bicha Ke Kaho.
Ali Ke Lal Se Ayehad-e-Wafa Nibha Ke Kaho.
Tere Gharanay Se Wafadari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
Hum Tu Azal Se Hi Azadar Hain Maula.
Majlis-o-Matam Ke Talabgar Hain Maula.
Aankh Jo Dunya Mein Khuli Dekha Yeh Manzar.
Ghar Mein Azakhana Sajati Hoi Madar.
Wirsa Yeh Mila Hussain Gham Sath Raha Hussain.
Yeh Ashk-e-Azza Hussain Matam Ki Sada Hussain.
Hashar Talak Ab Yeh Talabgari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
Rahoon Mein Jaloson Ke Sabeelein Bhi Lagaein.
Pani Bhi Azadaron Ko Sharbat Bhi Pilaein.
Har Saal Teri Hazari Dunya Ko Khilaein.
Bachoon Ko Teri Yaad Mein Saqqa Bhi Banaein.
Khidmat-e-Azza Hussain Hai Farz Bara Hussain.
Hai Azm-e-Wafa Hussain Ho Sath Tera Hussain.
Har Saal Muharram Ki Yeh Teyari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
Yeh Ahl-e-Azza Shan-e-Azza Aisay Barhaein.
Har Waqt Azadari Hai Barwaqt Namazein.
Mumkin Hi Nahi Sajday Mein Jab Sar Ko Jhokaein.
Aye Maula Humein Sajday Tere Yaad Na Aaein.
Matam Bhi Tera Hussain Sajdah Bhi Tera Hussain.
Kaba Bhi Tera Hussain Qibla Bhi Tera Hussain.
Sath Namazon Ke Azadari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
Hum Ne Wilayat Ka Jab Iqrar Kiya Tha.
Bint-e-Muhammad Se Kiya Tha Yehi Wadah.
Apne Sabhi Gham Tu Bhola Dein Gay Magar Hum.
Bhool Nahi Saktay Kabhi Majlis-o-Matam.
Iss Dar Ki Sada Hussain Dharkan Ne Kaha Hussain.
Seeno Mein Raha Hussain Sansoon Mein Basa Hussain.
Sansoon Mein Har Dam Yeh Sada Jari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
Hum Ne Jo Bichaya Hai Yeh Farsh Azza Ka Hai.
Sajjad Ki Khuwaish Hai Zainab Ki Tamana Hai.
Yeh Ashk-e-Azza Kya Hai Bakhshish Ka Waseela Hai.
Romal Mein Zahra Ke Zeenat Yehi Banta Hai.
Aankhon Se Yeh Nehar-e-Azza Jari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
Tehzeeb-e-Azadari Sikhatay Hain Azadar.
Bachoon Ko Alamdari Sikhatay Hain Azadar.
Mimber Se Wafadari Sikhatay Hain Azadar.
Behno Ko Hayadari Sikhatay Hain Azadar.
Naslon Mein Chaley Hussain Yeh Dars Tere Hussain.
Hum Ne Jo Sunay Hussain Hum Ne Jo Diye Hussain.
Younhi Dilon Par Teri Sardari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
Maula Yeh Taboot Alam Jhola Amari.
Pani Ki Sabeelein Bhi Nishani Hain Tumhari.
Duldul Ka Jaloson Mein Safar Ab Bhi Hai Jari.
Kuch Our Nahi Bas Yehi Dolat Hai Hamari.
Nisbat Se Teri Hussain Qismat Yeh Mili Hussain.
Bholay Na Kabhi Hussain Yeh Seena Zani Hussain.
Hum Ne Alam Paya Alamdari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
:MEESUM:-o-:MAZHAR: Tu Yehi Kehte Rahein Gay.
Maula Tere Gham Ke Sabab Jeetay Rahein Gay.
Nohay Teri Yaad Mein Hum Parhtay Rahein Gay.
Aankh Se Yeh Ashk-e-Azza Behtay Rahein Gay.
Bas Yeh Hai Dua Hussain Aaye Jo Qaza Hussain.
Ho Lab Pe Saja Hussain Ik Naam Tera Hussain.
Jan Se Barh Kar Yeh Humein Pyari Rahe Gi.
Maula Sada Teri Azadari Rahe Gi.
Tu Sab Ka Nigehbaan Hussain Jan Hussain Jan.
Tu Natiq-e-Quran Hussain Jan Hussain Jan.
Tu Deen Ki Pehchan Hussain Jan Hussain Jan.
Zahra Ka Dil-o-Jan Hussain Jan Hussain Jan.
Tu Sabar Ki Dewar Hussain Jan Hussain Jan.
Tu Zabt Ki Talwar Hussain Jan Hussain Jan.
Tu Kufar Pe Yalgar Hussain Jan Hussain Jan.
Tu Bar Sar-e-Paykar Hussain Jan Hussain Jan.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2022-23:
Composition: :Mazhar Abidi,Mesum Abbas:
#AzadariRahegi
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com