Tabarrukat e Hussaini Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2011

Tabarrukat e Hussaini Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2011

Tabarrukat e Hussaini Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir

Zamane Walo Adab Se Inhein Salam Karo.
Tabarrukat-e-Hussaini Ka Ayhteram Karo.

Yeh Zuljinah Yeh Taboot Yeh Shabeeh-e-Alam.
Amanatein Hain Yeh Zainab Ki Sab Khuda Ki Qasam.
Inhein Sanbhal Ke Rakho Na Hone Do Barhum.
Wagarna Mehdi-e-Doraan Ko Kya Bataein Gay Hum.
Bohat Hi Jald Woh Pardah Uthane Wala Hai.
Amanatein Hain Yeh Jis Ki Woh Aane Wala Hai.

Jo Hum Jaloos Mein Taboot Le Ke Aate Hain.
Zamane Walon Ko Shabirriyat Sikhatay Hain.
Bani Asad Ke Qabiley Ki Had Barhatay Hain.
Shaheed Imam Ka Taboot Youn Uthatay Hain.
Jisay Marz Hai Aqeeday Ka Theek Ho Jaye.
Jo Karbala Mein Nahi Tha Shareek Ho Jaye.

Jo Keh Rahe Hain Tabaruk Ghata Diya Jaye.
Unhein Hamara Aqeeda Suna Diya Jaye.
Jo Hai Woh Naam Pe Sheh Ke Luta Diya Jaye.
Samajh Na Aaye Tu Yeh Mashwara Diya Jaye.
Jo Be Jawaz Hain Unn Khuwaishon Ko Kam Kar Do.
Niyaz Ko Nahi Aasaishon Ko Kam Kar Do.

Sand Hai Naqa-e-Saleh Ka Moatbar Hona.
Agar Naseeb Ho Hujjat Ka Humsafar Hona.
Sharf Ko Kam Nahi Karta Hai Janwar Hona.
So Zuljinah Se Munkir Yeh Soch Kar Hona.
Har Ik Lehaz Se Tazeem Ke Yeh Qabil Hai.
Keh Iss Ka Khon Bhi Khak-e-Shifa Mein Shamil Hai.

Hussainiyat Ki Nazar Mein Hussainiyaat Alam.
Nabi Ke Hath Se Aaya Hai Hathoon Hath Alam.
Hai Nasab Chodah Sadi Se Lab-e-Furat Alam.
Our Ab Imam Jo Laein Gay Apne Sath Alam.
Muqassaron Ka Kaleja Jalaya Jaye Ga.
Jab Iss Ko Kabay Ki Chat Par Sajaya Jaye Ga.

Har Aik Gham Ka Madawa Sagheer Ka Jhola.
Hayat Bantne Wala Sagheer Ka Jhola.
Kuch Iss Liye Bhi Hai Aala Sagheer Ka Jhola.
Keh Hai Hussain Ka Jhola Sagheer Ka Jhola.
Kiya Na Rad Kabhi Koi Sawali Jholay Ne.
Hazaron Jholiyaan Bhar Di Hain Khali Jholay Ne.

Jahan Jahan Bhi Aza-e-Hussain Chalti Gayi.
Wahan Wahan Ki Saqafat Mein Khud Bhi Dhalti Gayi.
Kissi Ne Karbala Manzar Kashi Se Zindah Rakhi.
Kissi Ne Daf Pe Azza Ki Kahin Saji Mehndi.
Qabiley Ishq Ke Manzil Ki Simt Chalte Rahe.
Hussain Aik Raha Qafilay Badaltay Rahe.

:TAKALLUM: Itna Hai Aali Maqam Farsh-e-Azza.
Ja Namaz Aza-e-Imam Farsh-e-Azza.
Ali Ki Beti Ka Hai Inteqam Farsh-e-Azza.
Kiya Hai Tu Ne Rasolon Ka Kam Farsh-e-Azza.
Yazidiyat Mein Zamane Simat Gaye Hotey.
Na Bichta Tu Tu Musallay Lipat Gaye Hotey.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2011-12:

#TabarrukateHussaini
#ManqabatLyrics
#tajpoint

New Manqabat Tabarrukat e Hussaini Lyrics In Urdu

 Mir Hasan Mir Manqabat Tabarrukat e Hussaini Lyrics In Urdu

Tabarrukat e Hussaini Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2011 Write Up Poster Image

Tabarrukat e Hussaini Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2011

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!