Zikar Jab Zainab-e-Muztar Ka Bayaan Hota Hai Lyrics Urdu 1990

Zikar Jab Zainab-e-Muztar Ka Bayaan Hota Hai Lyrics Urdu 1990

Zikar Jab Zainab-e-Muztar Ka Bayaan Hota Hai.

Khon Sajjad Ki Aankhon Se Rawaan Hota Hai.

Dast-e-Shabeer Se Be Sheer Ne Sabit Yeh Kiya.
Hashmi Khon Tu Bachpan Se Jawaan Hota Hai.

Nook-e-Naiza Se Lehad Mein Se Nikalein Lasha.
Zulm Aisa Yeh Zamane Mein Kahan Hota Hai.

Bhai Beton Ke Hoon Be Goor-o-Kafan Lashay Paray.
Aisay Aalam Mein Qayamat Ka Samaa Hota Hai.

Fatima Zahra Wahan Khud Hi Pohanch Jati Hain.
Zikar-e-Hasnain Shareefain Jahan Hota Hai.

Aao Sajjad Ki Aankhon Se Lahu Tu Dekho.
Manzar-e-Karb-o-Bala Taza Ayyaan Hota Hai.

Tu :AMEER: Aik Nahi Shah Ke Gham Mein Shamil.
Mehway Gham Aaj Tu Har Kaun-o-Makaan Hota Hai.

Poet: :Syed Shah Ameer Hussain Mashhadi:
Noha Khuwaan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1990-91:

#ZikarJabZainabeMuztar
#NohayLyrics
#tajpoint

Zikar Jab Zainab-e-Muztar Ka Bayaan Hota Hai Lyrics Urdu 1990 Write Up Poster Image

Zikar Jab Zainab-e-Muztar Ka Bayaan Hota Hai Lyrics Urdu 1990

Video Link
error: Content is protected !!