Milti Hi Nahi Koi Misal Aisi Dahar Mein Lyrics In Urdu 1990
Milti Hi Nahi Koi Misal Aisi Dahar Mein.
Be Goor-o-Kafan Bhai Humsheer Safar Mein.
Haq Fatima Zahra Ka Gasab Jis Ne Kiya Hai.
Woh Dost Bhala Kiya Hai Payamber Ki Nazar Mein.
Chup Ma Ke Bachay Ko Bhi Naizay Pe Charhaya.
Kiya Chora Hai Ummat Ne Mere Bhai Ke Ghar Mein.
Khamosh Chali Jaon Bhala Sham Mein Kaisay.
Shabeer Ka Lasha Hai Meri Rah Guzar Mein.
Abid Ne Kaha Khon Younhi Rota Rahon Ga.
Phophi Ki Aseeri Ne Kiye Zakhm Jigar Mein.
Tarsi Thin Khawateen Mulaqaat Ko Jis Mein.
Zainab Sar-e-Uryaan Hai Ossi Kofa Shehar Mein.
Behtay Hain Gham-e-Shah Mein Jo Aanso Woh Kahan Hain.
Mehshar Mein Milein Gay Woh Tumhein Lal-o-Gohar Mein.
Kyun Kar Na :AMEER: Aaj Kahey Gham Ka Yeh Noha.
Har Zulm Ka Manzar Hai Meri Deedah-o-Tar Mein.
Poet: :Syed Shah Ameer Hussain Mashhadi:
Noha Khuwaan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1990-91:
Composition: :Hasan Sadiq:
#MiltiHiNahiKoiMisalAisiDaharMein
#NohayLyrics
#tajpoint