Bint-e-Nabi Ko Aisay Ummat Sata Rahi Thi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بنتِ نبیؐ کو ایسے اُمت ستا رہی تھی
Jis Ja Nabi They Ruktay Woh Dar Jala Rahi Thi.
Bach Jaye Mera Mohsin Zahra Pukarein Ya Rab.
Na Paak Thokaron Se Tatheer Wala Dar Jab.
Jalta Hi Fatima Par Ummat Gira Rahi Thi.
Jis Ke Liye Jahan Yeh ALLAH Ne Banaya.
Zulm Oss Pe Zalimo Ne Aisa Jahan Mein Dhaya.
Seh Kar Sitam Jahan Se Woh Bibi Ja Rahi Thi.
Waris Hoon Main Fidak Ki Aye Logon Hoon Main Haq Par.
Inkar Kar Rahe They Phir Bhi Woh Loag Hans Kar.
Aayat Bhi Gasibon Ko Zahra Suna Rahi Thi.
Atharwin Baras Mein Hi Aa Gayi Zaeefi.
Pehlu Pe Hath Tha Our Baloon Mein Thi Safaidi.
Itnay Shadeed Sadmay Zahra Utha Rahi Thi.
Haq-e-Ali Ke Gasib Darbar Mein They Baithay.
Waris Nahi Nabi Ka Koi Bhi Keh Rahe They.
Hans Hans Ke Fatima Ko Ummat Rula Rahi Thi.
Zainab Na Seh Sakay Gi Kulsoom Poch Le Gi.
Maa Ne Tamacha Khaya Kaisay Unhein Kahey Gi.
Neela Nishan Rukh Par Zahra Chupa Rahi Thi.
Khutbay Ki Taig Uthaye Woh Tooti Pasliyon Se.
Darbar Mein Saqeefay Ke Sare Fasiqon Se.
Islam Our Wilayat Dono Bana Rahi Thi.
Darbar Se Jo Lauti Ghar Ghairat-e-Elahi.
Ashab Ne Na Mani Meri Koi Gawahi.
Ro Ro Ke Yeh Ali Ko Zahra Bata Rahi Thi.
Umm-e-Abeeha Keh Kar Jisay Mustafa Bulatay.
Jis Ke Liye Nabi Khud Tazeem Ko They Uthtey.
Ummat :ASAD: Ossi Ki Azmat Bhula Rahi Thi.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Syed Asghar Ali:
Noha Volume: :Syed Asghar Ali 2020-21:
Composition: :Syed Asghar Ali:
#BinteNabiKoAisay
#AyameFatmiyah
#NohaLyrics
#tajpoint