Sharab e Ishq e Ali Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2021
Sharab e Ishq e Ali Mir Hasan Mir.
Sharab-e-Ishq-e-Nabi.
Sharab-e-Ishq-e-Ali.
Haider Ke May Kharon Ko Pila De Saqiya.
Chodah Sharab Khano Ki Yakja Mila Ke La.
Aye Umar-e-Javedaan Mera Sagar Utha Ke La.
Aye Jibraeel Aaye Hain Baleen Pe Buturab.
Ja Jald Ja Ke Arsh Se Kursi Utha Ke La.
Peena Hai May Ghadeer Ki Kabay Mein Baith Kar.
Jo Hajiyon Mein Rind Hain Unn Ko Bola Ke La.
Hain Jo Ali Ali Ke Taraney Pe Motariz.
Unn Ko Dil-e-Rasool Ki Dharkan Suna Ke La.
Gar Ho Ali Ki Neend Ki Mairaj Dekhni.
Hijrat Ki Shab Ki Aankh Se Kajal Chura Ke La.
Dam Hai Tu Kar Le Sham-e-Azza Se Munazra.
Fatwon Ki Aandhiyon Ko Zara Wargala Ke La.
Jam-e-Wila Mein Zehar-e-Adawat Na Ghool Dein.
Iss May Ko Dushmano Ki Nazar Se Bacha Ke La.
Kehti Hai Roz Nar-e-Jahanum Yeh Maut Se.
Ik Sath Aaj Sare Addo Murtaza Ke La.
Waiz Ko Jam-e-Midhat-e-Haider Pila :SAROSH:.
Le Ja Iss Aadmi Ko Bhi Insaan Bana Ke La.
Poet: :Agha Sarosh:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2020-21:
Compositon: :Nazakat Ali Khan:
#SharabeIshqeAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint