Asghar Haye Asghar Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اصغرؑ ہائے اصغرؑ
Haye Be Sheer Mere Reh Gaya Ja Ke Kahan.
Dasht-e-Ghurbat Mein Kahan Dhondne Jaye Yeh Maa.
Aa Gayi Sham-e-Sitam Ho Gaye Gehray Saye.
Cha Gaya Dasht-e-Biyabaan Mein Andhera Haye.
Jo Guzarti Hai Mere Dil Pe Karon Kaisay Biyaan.
Bin Tere Lal Mujhe Chain Nahi Aata Hai.
Yaad Aati Hai Teri Dil Mera Ghabrata Hai.
Gaud Mein Aa Ja Meri Mere Betay Meri Jaan.
Tu Mujhe Rota Howa Chor Gaya Hai Jab Se.
Dhondti Phirti Hoon Main Dasht-e-Musibat Mein Tujhe.
Koi Batlata Nahi Hai Mera Chand Kahan.
Khoon Barasta Hai Kahin Lashay Paray Hain Ran Mein.
Khak Par Bethi Hain Shehzadiyaan Ujray Ban Mein.
Koi Mazlomo Ki Ab Sunta Nahi Aah-o-Fogaan.
Jo Hain Tatheer Ke Waris Woh Hoye Khak Basar.
Jal Gaye Khaimay Ridaein Bhi Nahi Hain Sar Par.
Dekh Tu Aa Ke Zara Hai Qayamat Ka Samaa.
Iss Qadar Zulm Sahey Itnay Yahan Gham Khaye.
Mang Bhi Ujari Meri Gaud Bhi Ujari Haye.
Haal Par Mere Hoi Bekasi Noha Kuna.
Jab Nahi Aaya Pisar Dasht-e-Bala Se :GOHAR:.
Khak Par Gir Pari Maa Rotay Hoye Yeh Keh Kar.
Ab Kisay Loriyaan Dey, De Ke Sulaye Gi Yeh Maa.
Poet: :Gohar Jarchvi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2002-03:
#AsgharHayeAsghar
#NohayLyrics
#tajpoint