Roti Rahi Hai Khon Imamat Kahan Kahan Asghar Khan 2012
Roti Rahi Hai Khon Imamat Kahan Kahan Asghar Khan.
Sajjad Tujh Ko Le Gayi Ghurbat Kahan Kahan.
Sadaat Ke Bandhay Hoye Bazu Bataein Gay.
Parwardigar Sabar Ke Aanso Bataein Gay.
Abbas Ki Pari Hai Zarorat Kahan Kahan.
Rodad Bekasi Ki Ro Kar Sunaein Gay.
Zainab Se Pocho Sham Ke Rastay Bataein Gay.
Abid Ke Dil Pe Guzri Qayamat Kahan Kahan.
Pathar Ki Shakal Mein Hoi Barsat Khon Ki.
Rahoon Mein Sham-o-Kofa Ke Ummat Rasool Ki.
Deti Rahi Hai Ajar-e-Risalat Kahan Kahan.
Paigham-e-Kirdgar Sunanay Ke Wastay.
Deen-e-Rasool-e-Pak Bachaney Ke Wastay.
Sajjad Ne Chukayi Qeemat Kahan Kahan.
Parday Ka Bachpaney Se Hi Jis Ko Khiyal Tha.
Ghar Mein Na Dekha Jis Ne Kabhi Maa Ko Be Rida.
Haye Hoi Hai Qatal Woh Ghairat Kahan Kahan.
Pur Khar Raston Se :TAKALLUM: Barehna Pa.
Paidal Safar Howa Mere Bekas Imam Ka.
Gir Gir Pari Safar Mein Musafat Kahan Kahan.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha khuwan: :Asghar Khan:
Noha Volume: :Asghar Khan 2011-12:
Composition: :Asghar Khan:
#KahanKahan
#NohayLyrics
#tajpoint